BOUQUET - 43

 "NIDAR"

------------
Ae Mere Dil,  Zaraa Mujh Se To Baat Kar,
Gaayab Kahaa Thaa, Kal Raat Bhar,
Aaj Tak Naa Jhukaa  Hai, Apnaa Yeh Sar,
Zindagee Hotee Hai Ek Lambaa Safar, 
Aage Hee Badhnaa Hai, Ho Kar Nidar,
Aisaa Bhee Dekhaa Gayaa Hai Aksar, 
Raaste Mein Thokrein Jab Khaaye Agar, 
Log Chhod Bhee Dete Hain, Sahee Dagar,
Akele Hee To Jaanaa Hai, Bin Humsafar, 
Koee Kaheen Naa Aayegaa, Poochhne Khabar.
           -------------------

"UDAAN"
--------------
Mere Hee Apnon Kaa Rahaa Yeh Sawaal Khaas,
Naukree Se Kis Waqt Le Rahe Ho Sanyaas ?
Is Kaa Jawaab Abhee Naheen Hai Mere Paas, 
Mujhe Ghar Baitthe Nahee Likhnaa Hai Upanyaas,
Lekin Is Baat Par Dilaa Doon, Kaise Vishwaas ?
Kum Logon Ne Jaan Liyaa Hain, Meraa Yeh Ehsaas,
Is Wajah Se Kabhee Ho Jaataa Hoon Udhaas,
Buland Ho Udaan, Dil Mein Hai Yahee Ek Aas !
           --------------------

"SHABAAB"
-----------------
Jawaanee Mein Khoob Kaam Aayaa, Apnaa Shabaab, 
Lekin Ab Budhhaape Kaa To Sahaaraa Hai Sirf Sharaab,
Aise Mein Mumkin Hai, Jee Ho Jaayegaa Kuchh Kharaab, 
Umr Ke Har Pehloo Se Waakif Rehnaa Hai Janaab !

Warnaa Sar Ke Oopar Se Behtaa Rahegaa Yeh Sailaab, 
Haqeeqat Yeh Hai Ke Adhooraa Ho Saktaa Hai Khwaab, 
Is Sawaal Kaa Koee Naheen Dhoond Le Sakaa Jawaab,
Chaahe Padh Bhee  Le, Kitne Hee Upanyaas Yaa Kitaab.

Zindagee To Yakeenan Hai Ek Sundar Mehaktaa Gulaab,
Hum Jee Sakte Hain Bagair Koee, Jalan, Dhokaa Aur Rubaab,
Yeh Zarooree Naheen, Hum Jee Le, Jaise Koee Nawaab, 
Itnaa Hai Kaafee, Agar Mil Bhee Jaaye, Sab Kaa Aadaab !

Khush Ho Kar Hee Kar Le, Har Subah, Darshan - E - Aaftaab,
Raat Ko Bhee So Jaaye, Kar Ke Deedaar - E - Mehtaab !
           -------------------

"SAYAANEE"
-------------------
Ek Thaa Raajaa Aur Ek Thee Raanee, 
Aao Sunaaye Un Donon Kee Kahaanee, 
Yoon Hee Chaltee Rahee Zindagaanee, 
Kisee Ko Bhee Naheen Pareshaanee.

Zidd Mein, Raanee Ne Kar Lee Manmaanee, 
Raajaa Ne Sochaa 'Huee Thodee Naadaanee',
Har Waqt Sochtee 'Main Hee Hoon Sayaanee',
Aise Mein, Kaee Saal Beete, Nikal Gaee Jawaanee.

           -------------------

"AASMAAN"
------------------
Kareeb Aath Arab Logon Par Rakhnaa Dhyaan, 
Yeh Kaam Hai Mushkil, Bilkul Naheen Aasaan,
Is Kaa To Khoob Faaydaa Uthaata Hain Insaan,
Lagtaa Hai Yeh Sab Dekh Kar, Ab Bhagwaan, 
Kuchh Hadh Tak Hone Lagaa Hai Hairaan,
Dhartee Par Kab Punah Aaye Chhod Aasmaan ?
Wahaan Kee Roohein Ho Rahee Hain Pareshaan,
Gair Haaziree Mein Kaheen Daakil Naa Ho Shaitaan !
            ------------------

"BEKAL"
------------
Kaee Dinon Se Jee To Hai Yoon Hee Bekal,
Jaise Koee Maane Naheen Rakhtee Yeh Pal,
Koshish Jaaree Hai Ke Khud Ko Sambhal,
Par Kadam Badhaanaa Hone Lagaa Wifal.
       -------------------------

"SALAAM"
----------------
Us Muqaam Par Shaayad Yahee Hai Paighaam,
Muskuraate Huwe De Sab Ko Aakhree Salaam, 
Ab Bilkul Naheen Rahaa Naam Yaa Dhaam, 
Pareshaan Aise Hone Se Bhalaa Kyaa Hai Kaam.
          ---------------------

Comments

Popular Posts