SHINING STARS - 1
1. "MOHAMMED RAFI"
-----------------------------
Har Peedee Ke Liye Muft Mein Hai Yeh Salaah,
Gaayakon Mein Agar Hai Koee Shehanshaah,
Tamaam Shakhs Ke Dilon Mein, Hain Yeh Chaah,
Is Kudratee Aawaaz Se Goonje, Har Ek Raah,
Sukoon Paate Hain, Khul Jaatee Hain Nigaah,
Alvidaa Jaldee Keh Ke, To Kiyaa Hain Gunaah,
Yeh Shikwaa Naheen, Sirf
Dil Se Niklee Aah !
-------------------
2. "LATA MANGESHKAR"
------------------------------
Koyal See Aawaaz, Sar Pe 'Bharat Ratna' Kaa Taaj,
Sattar Saalon Se Kiyaa Hai Laakhon Dilon Par Raaj,
Gaayakee Mein Naa Koee Muqaablaa, Kal Yaa Aaj,
Geeton Kaa Yeh Asar,Kaise Bhool Jaaye Samaaj ? !
-------------------
3. "KISHORE KUMAR"
----------------------------
Jhoomte Nagmon Se Paidaa Karte Hain Josh,
Lafzon Ko Zaraa Tod Ke, Kar Dete Hain Madhosh,
Gambheer Geeton Se Karte Hain, Sab Ko Khaamosh,
Harfan Moulaa, Aap To Udaa Dete Hain Hosh,
Kisee Kaa Kyaa Qasoor, Agar Ho Jaaye Behosh ? !
-------------------
4. "ASHA BHOSLE"
-------------------------
Bin Piye Hee Agar Chhaane Lagtaa Hai Nashaa,
Yeh Hai Aap Kee Meethee Aawaaz Kee Adaa,
Aisee Sharaarat, Ke Sabhee Ho Jaate Hain Fidaa,
Kadmon Mein Uchhaal Ke Liye, Sun Le Sadaa !
-------------------
5. "MUKESH"
----------------
Aam Aadmee Jaise Gaate Thay Mukesh,
Sabhee Dilon Mein Kiyaa Grih Pravesh !
Dil Mein Hai Dard, Lekin Khaamosh Hai Zubaan,
Nainon Mein Hain Aansoo,
Chehre Par To Muskaan,
Saaz Ko Rulaa De, Aisee Aawaaz Abhyaan,
Chhed Ke Dil Ke Taar, Kar Dete Yoon Hairaan,
Aap Ke Andaaz Kaa, Aage Kyaa Karoon Bayaan ? !
-------------------
6. "SUMAN KALYANPUR"
------------------------------
Aawaaz Kaafee Hadh Tak Lata Jaisee Jo Paayee,
Isee Wajah Se Shaayad Duniyaa Huee Harjaaee,
Yakeenan Is Baat Se, Dil Pe Bahut Chot Khaayee,
Par Daataa Se, Kum Gun Le Kar Naheen Aayee !
-------------------
Comments
Post a Comment