BOUQUET - 5

 "AASHCHARYA"

------------------------
Gagan Mein Agar Sitaaren  Naheen Chamakte, 
Chaman Ke Phool Bhee Kabhee Naa Mehekte;
Hum Sab To Aashcharya Chakit Ho Jaate,
Aur Chaar Aansoo To Roz Shaayad  Bahaate.
  -------------------------------

"WAQT"
------------
Kisee Baat Ko Lekar Agar Ho Jaate Pareshaan,
Us Par Se Turant Hee Hataa De Apnaa Dhyaan,
Lekin Aisaa Karnaa Hai Mushkil, Bolnaa Aasaan,
Maamlaa Suljhegaa Jab Waqt Hogaa Mehrbaan.  
  --------------------------------

"AAEENAA"
-----------------
Naa Jaane Kab Toot Gayaa Thaa Woh Aaeenaa ?
Jab Main Khud Se Naheen Thaa Itnaa Begaanaa ?
Ab Har Ek Lamhaa Lagtaa Hai Bilkul Anjaanaa,
Yaad To Aa Rahaa Hai Woh Guzraa Zamaanaa.
   -------------------------------

"HASRAT"
---------------
Man Mein Dabee Rahee Hai Ek Hasrat, 
Mujhe Mil Jaaye Itnee Saaree Fursat, 
Sabhee Ke Dilon Se Mitaa Sakoon Nafrat, 
Aur Jag Mein Rahen Bas Pyaar Aur Izzat.
    ------------------------------- 

"UMMEED"
----------------
Oont Ko Kaise Pataa Chale Pairon Tale Hai Kyaa, 
Oonche Log Kaise Jaane Gareeb Ne Kaise Jiyaa,
Ummeed Anusaar Kyaa Sab Kuchh Paa Liyaa,
Yaa Sapnon Ko Sirf Raakh  Bante Dekh Paayaa ?
   -------------------------------

"QASOOR"
----------------
Zameen Se To Falak Nazar Aataa Hai Bahut Door,
Taaron Kee Jhalak Se Dil Machaltaa Hai Zaroor; 
Is Nazaaren Ko Koee Keh De Chashm - E - Baddoor,
To Bataa De Is Mein, Us Kaa Kyaa Hai Qasoor !
   -------------------------------

"MAUSAM"
-----------------
Mausam Par Bhee Hai Ab Aashiqee Kaa Asar,
Kasam Se Naheen Reh Gaee Baaqee Koee Qasar; 
Kisee Bande Ko Naa Chhod Diyaa Yeh Leher, 
Kehtaa Rahegaa Dil "Ab Kuchh Der Aur Theher".
   --------------------------------

"SALAAH"
----------------
Sunaa Hai Aksar, Jahaan Chaah Wahaan Raah,
To Kyon Na Ab Failaa De Apnee Dono Baah,
Chaahat Kee Manzil Par Hee Rahen Nigaah ;
Behtar To Lagegaa Sabhee Ko Yeh Salaah !
    --------------------------------

"JEEVAN"
---------------
Yeh Jeevan To Hai Ek Lambaa Safar,
Khaate Hee Rahenge Hum Thokar Magar,
Par Kisee Bhee Haal, Na Hogaa Duniyaa Se Dar,
Jo Kuchh Ho Jaaye, Naa Jhuk Paaye Apnaa Sar !
   --------------------------------

"ALVIDAA"
----------------
Phool Se Khushboo, Jis Tarhaa Ho Judaa,
Zindagee Aisee Kyon Ho Gayee, Ae Khudaa ?
Us Paar Tak Jaa Sakte The Agar Naakhudaa, 
Gaayab To Naa Ho Jaate, Yoon Keh Ke Alvidaa !
    -----------------------------

Comments

Popular Posts