BOUQUET - 9

ISHQ

******
Sunaa to hai sab ne ki ishq par naheen koee zor,
Jawaanee ke din man mein naachtaa hai mor ;
Bechainee se intezaar hai ki kab hogaa bhor,
Taaki palang se uth karen dheere se kuchh shor !

JANAM
*********
Kyaa sachmuch log lete hain kaee janam,
Kaheen yeh to naheen sirf dimaagee weham;
Is baat par bhee hote hain charchaaen garam,
Shaq hai ke pichhlee baar kyaa 'aap' the 'hum' !


JANG
*******
Har pal badaltee rehtee hai duniyaa kaa rang,
Sar ke bal chalne se bhee khatm huee umang;
Pataa naheen ab kitne din rahegaa yeh jang,
Bataa, ae "covid" kab tak rahegaa apne sang  ?!


AAFTAAB
***********
Naye din ke saath nikaltaa hai aaftaab,
Dete huwe muft mein anek kiran laajawaab;
Sochtaa hogaa ab sabhee honge kaamyaab,
Kisee kaa naheen rahegaa adhooraa khwaab.


FIKR
******
Jaise hee badhne lagee hai meree umr,
Hone lagee hai bahut saaree fikr ;
Kisee ne kiyaa agar maut kaa zikr,
Tadaptaa hoon jaise dikh gayaa kabr.


NAZAAKAT
*************
Zindagee kee rahee yeh ek
khaas haqeeqat,
Khaamosh ulfat ko hee kehte hai ibaadat ;
Kyon ki isee mein hai saadgee aur nazaakat,
Tanhaa dil se kabhee naa hogee koee shikaayat.


PARINAAM
*************
Sitaaron Tak Pahunchaa Do Apnaa Yeh Paighaam,
Nazaaron Se Bhee Keh Do Zaraa Meraa Hee Naam ;
Is Mehrbaanee Ke Liye Zaroor Doongaa Inaam,
Jeevan Bhar Kiyaa Hain Kuchh Aisaa Bhee Kaam,
Par Abhee Tak Niklaa To Naheen Koee Parinaam !


HARKAT
**********
Mere Paas To Abhee Bilkul Naheen Hai Fursat,
Yeh Keh Ke Har Kisee Ne Kiyaa Hogaa Harkat; 
Ek Baat Main Kahoon,Aap Agar De Mujhe Ijaazat,
Muskaan Liye Chup Rehne Mein Hai Apnee Barkat.


DIYAA
********
Yaadon Se Na Bujh Gayaa, Dil Kaa Woh Diyaa,
Jis Kee Roshnee Mein Ab Tak To Hai Jiyaa,
Zakhmon Ko Ummeed Ke Dhaage Se Siyaa,
In Baaton Ko Par Gaur, Kisee Ne Naheen Kiyaa.


ZINDAGAANEE
*******************
Jab Shabaab Par Hai  Zindagaaee,
Tab Alvidaa Kehnaa Hai Naadaanee,
Agar Hone Lagegee Kuchh 
Pareshaanee,
Zyaadaa Soch Kar Hotee Hai Hairaanee !
   
 

Comments

Popular Posts