BOUQUET - 6

"BETEE"
-------------
Jab Chhotee Thee, Tab Unglee Pakad Ke Chaltee,
Ab Mujhe Laptop Kee Sab Baatein Samjhaatee,
Pehle Yeh Laadlee Mere Ishaaron Par Naachtee,
Ab Aadhunik Maamle,Prem Se Hai Mujhe Sikhaatee !
   -------------------------------

"CHUMBAK"
-------------------
Daulat Hotaa Hai Sirf Ek Chumbak, 
Kuchh Dinon Kee Hotee Yeh Chamak,
Koee Naheen Keh Saktaa Kab Talak, 
Par Kaun Ab Samjhaaye Yeh Sabak !
   ------------------------------

"RAAZ"
-----------
Man Meraa Rahaa Saalon Se Ek Soonaa Saaz,
Nikaltee Naheen Thee Is Se Koee Bhee Aawaaz ;
Ab Shaayad Chup Rehne Se Aa Gayaa Baaz,
Khud Ko Zaraa Badal Daalaa, Yeh Hai Raaz !
    ----------------------------

"DISHAA"
---------------
Dekh Kisee Kaa Bigadtaa Huaa Dashaa,
Hotaa Zaroor Hain Dukh Aur Niraashaa ;
Jeevan To Hai Naheen Khel Tamaashaa,
Yeh Jaane Bagair Kaise Badlegaa Dishaa ?
     -------------------------------

"HAQEEQAT"
------------------
Khilonaa Toot Jaaye To Har Bachchaa Rotaa Hai,
Dilrubaa Rooth Jaaye To Aashiq Udaas Hotaa Hai, 
Patnee Kuchh Bolee To Koee Moonh Fertaa Hai,
Kismet Kaheen Khul Jaaye To Jantaa Ghertaa Hai.
     ------------------------------

"EHSAAN"
---------------
Ghareloo Kaam Kar Ke Khud Par Kar Lo Ehsaan,
Aise Jeene Se, Tandurust Rehtaa Hai Har Insaan,
Chhotee Baaton Se Nikal Jaataa Hain Dhyaan,
Saath Naa Detaa Koee,To Bhee Naheen Pareshaan !
    ------------------------------

"ITTEFAAQ"
------------------
Dil Kaa Sheeshaa Jab Toot Hee Gayaa,
Nashe Kaa Pyaalaa Tab Bahut Kaam Aayaa,
Ittefaaq Se Ab Tak Saath To Hai Saayaa,
Gham Kyon Karen Agar Koee Huaa Paraayaa.
   ------------------------------

"IRAADAA"
-----------------
Samay Pe Kaam Ho, Yeh Hai Kaaydaa,
Isee Mein Sab Kaa Hotaa Hai Faaydaa,
Jaldbaazee Naa Ho, Rahen Apnaa Iraadaa,
Aise Mein Nibhaa Sakegaa Pooraa Waadaa.
    --------------------------------

"FURSAT"
--------------
Aaj Kisee Ke Paas Naheen Hai Fursat,
Par Har Ek Dil Mein To Hai Yeh Hasrat,
Jamaa Kar Le Beshumaar Daulat,
Asal Mein Yeh To Hai Khud Se Bagaawat !
     -------------------------------

"MAAYOOS"
------------------
Do Chaar Aansoo Agar Aaj Main Bahaa Doon,
Yoon Thodaa Sukoon Bhee Mehsoos Kar Loon,
Ghataaon Saath To Do, Aur Naa Poochho Kyoon, 
Ek Maayoos Saa Chehraa Dikhaanaa Chaahtaa Hoon.
   -------------------------------

Comments

Popular Posts