BOUQUET - 12

 "BETAABEE"

-------------------
Jab Jhoomne Lagtee Hai Nashe Kee Pyaalee,
Tab To Badhne Lagtee Hai Dil Kee Betaabee,
Dukh Kaa Ehsaas Jab Ho, Bantaa Hai Sharaabee,
Ek Aur Jaam Uthaakar, Kar Detaa Hoon Khaalee.  
     ----------------------------

"BUZURG"
----------------
Jab Hum Bachche The, Maa Baap Se Bahut Darte,
Ab To Buzurg Ho Gaye, Par Bachchon Se Ghabraate,
Har Umr Mein Koee To Ishaaron Pe Nachaate,
Kab Aayegaa Ek Aisaa Waqt, Sab Aakar Manaate.
      ----------------------------

"JANAAB"
---------------
Kisee Ko Nashaa Hai Pee Kar Sharaab,
Kisee Ko Khumaar Hai Padh Ke Kitaab,
Koee Santulan Kho Diyaa Dekh Ke Shabaab,
Haal Aap Kaa Kaise Rahaa, Mere Janaab ? !
     -------------------------- 

"PEHCHAAN"
--------------------
Jab Khudaa Ho Mehrbaan Tab Kamzor  Pehelwaan,
Woh Samajhne Lagtaa Khud Ko Badaa Balwaan ;
Aise Logon Ko Aslee Baat Bataanaa Nahee Aasaan,
Par Ek Din Aisaa Aayegaa, Hogee Sahee Pehchaan.
      -------------------------

"OJHAL"
-------------
Main Chaahtaa Hoon Tujhe Dekhoon Har Pal,
Is Liye Naa Honaa Meree Aankhon Se Ojhal,
Kaise Yakeen Dilaa Doon, Dil To Hai Malmal,
Yoon Hee Rahegaa Tere Liye, Aaj Aur Kal !
     -------------------------

"BEHROOPIYAA"
-------------------------
Yeh Main Hoon Yaa Koee Behroopiyaa,
Jis Ne Kal Ke Doston Ko Bhulaa Diyaa,
Jo Mushkil Waqt Mein Apne Saath Jiyaa,
Har Ek Aansoo Ko Apnaa Samajh Liyaa.
      -------------------------

"KHUDGARZEE"
------------------------
Khud Ko Sab Se Behtar Samajhnaa Hai Ek Kamzoree,
Auron Par Apnaa Rob Jamaanaa, Hai Sirf Khudgarzee ;
Apnee Galtee Naheen Maan Lenaa, Ek Maansik Beemaaree,
Doosron Kaa Khayaal Naa Karnaa, Shaayad Ek Aur  Kamzoree ?
      --------------------------

"DARSHAN"
------------------
Aasmaan Mein Jaise Rang Bhare Baadal Jhoome,
Khule Gesoo Waise Hee Gore Gaalon Ko Choome,
Darshan Aise, To Dil Kaise Naa Dhadke Ghoome,
Kaash Yeh Sab Aate Nazar, Lekin Zaraa Dheeme !
      -------------------------

"ZAKHM"
--------------
Ek Aur Zakhm Ke Liye, Ab Tayyaar Hai Yeh Dil,
Nazron Se Niklee Teeron Se Bachnaa Hai Mushkil,
Isee Wajah Se Main Nahee Ho Jaataa Shaamil,
Bhalaa Kitnee Hee Haseen Kyon Naa Ho Mehfil !
      ------------------------

"BEQAABOO"
--------------------
Pehle Meraa Man Aksar Hotaa Thaa Beqaaboo,
Ab Us Par Chalne Lagaa Hain, Ek Nayaa Jaadoo,
Aakarshit Kar Saktaa Sirf Phoolon Kee Khushboo,
Aarzoo Hai Yoon Kaayam Reh Jaaye, Meree Aabroo.
       -------------------------

Comments

Popular Posts