BOUQUET - 7
"FARAAR"
---------------
Waise Thaa Woh Khoob Milansaar,
Kuchh Samay Se Hai Ab Faraar,
Ek Ubhartaa Hansmukh Kalaakaar,
Huaa Shaayad Khud Par Kum Aitbaar,
Yaa Dil Se Ho Gayaa Thaa Beqaraar ?
------------------------------ -
"NIKHAAR"
------------------
Is Umr Mein Itnaa Kyon Nikhaar,
Jab Gayee Jawaanee Kee Bahaar,
Yeh Sawaal Kartaa Rahaa Anek Baar,
Par Koee Suntaa Naheen, Mere Yaar !
------------------------------ -
"BARAABAR"
--------------------
Ghar Kee Murgee Har Waqt Daal Baraabar,
Bhalaa Lagtaa Hai Kyon Aisaa Aqsar ?
Bagal Ke Ghar Ke Phool Behad Sundar,
Bataa Sakegaa Kyaa Koee Idhar Aakar ?
------------------------------
"HISAAB"
---------------
Duniyaa Ho Gayee Hai Badee Kharaab,
Har Chehre Par Hai Ek Nayaa Naqaab,
Mushkil To Huaa Hai Lagaanaa Hisaab,
Kaise Kahoon Kuchh Is Ke Aage Janaab ? !
------------------------------ -
"PARAAYAA"
-------------------
Logon Ne Sataayaa To Yaadon Ne Bachaayaa,
Agar Kisee Ne Apnaayaa, Woh Ab Huaa Paraayaa,
Kadam Milaake To Saath Chaltaa Hai Meraa Saayaa,
Is Baat Kee Khushee Ne Bataayaa, Yeh Hai Maayaa.
------------------------------
"MUSHKIL"
----------------
Bahut Kum Dhadaktaa Hai Aajkal Meraa Dil,
Kis Wajah Se, Yeh Kehnaa Hai Mushkil,
Log Yoon Hee Kehte Hai, Aa Zaraa To Mil,
Jaan Liyaa Main Ne, Ab Alag Hai Manzil.
------------------------------ -
"SANSAAR"
------------------
Sansaar Se Naaraaz Kabhee Naheen Honaa,
Jeene Ke Liye Paryaapt Hai Ek Chhotaa Konaa ;
Din Aur Raat Kisee Ek Baat Ko Lekar Ronaa,
Behtar Hai Khoob Hanse Aur Chain Se Sonaa.
------------------------------ -
"AMAR"
------------
Kyon Log Chaahte Hain Lambee Umar,
Jab Jawaab Dene Lage Ghutne Aur Kamar,
Bistar Par Bezaar Hone Se Behtar O Dilbar,
Shukriyaa Adaa Kar Ke, Ho Jaaye Jaldee Amar.
------------------------------
"PEHCHAAN"
--------------------
Kisee Ko Yoon Dosh Denaa Hai Kitnaa Aasaan,
Galtee Tab Hee Hotee, Jab Hat Jaaye Dhyaan,
Is Baat Ko Yaad Rakhnaa Hotaa Hai Gyaan,
Insaaniyat Kee Yahee To Hai Aslee Pehchaan.
-----------------------------
"AANCHAL"
-----------------
Hawaa Mein Jab Udne Lagtaa Hai Aanchal,
Aur Nainon Kee Shobhaa Dugnaa Karen Kaajal,
Bajtee Hee Rahen Pairon Mein Bandhe Paayal,
Dil Kyaa Karen Agar Ho Jaaye Thodaa Paagal !

Comments
Post a Comment