BOUQUET - 13
"PAL"
--------Mujhe Yaad Aataa Hai Woh Dard Bharaa Pal,
Jab Ho Gayaa Thaa Main Bahut Hee Nirbal,
Tab Har Kaam Kaa Anjaam Hotaa Thaa Asafal,
Nahee Dekh Saktaa Thaa, Aaeenaa Mein Shakal.
------------------------
"HABEEB"
---------------
Kismet Ke Khel Kaa Kissaa Hai Ajeeb,
Pehle Jo The Door, Aaj Ho Gaye Qareeb,
Likhe Hote Honge, Sabhee Ke Naseeb,
Warnaa Itnee Jaldee Kaise Hote Habeeb.
---------------------------
"KHAYAAL"
-----------------
Har Raat, Ek Yaa Do Jaam, Agar Haath Mein Aaye,
Is Se Budhhaape Mein,Phir Se AurJosh Aa Jaaye,
Woh Sabhee Pakwaan, Mauj Se Bejhijak Khaaye,
Is Khayaal Mein Agar Dum Hain , Aap Zaraa Bataaye !
-----------------------
"SMARTPHONE"
-------------------------
Ab Har Waqt Sab Ke Haath Mein Hai Ek 'Smartphone',
Par Gaur Se Dekhaa Jaaye To Huay Log 'Stand-Alone',
Yeh Kaisee Zindagee Hai, Jab Har Koee 'Unknown',
Lag Rahaa Hai Aise, Ke Dimaag Huaa 'Out Of Zone'
-------------------------
"ACHAANAK"
--------------------
Aankhen Meree Kyon Bhar Aayee Achaanak,
Sapnaa To Naheen Dekhaa Koee Bhayaanak,
Lekin Bewajah Aisee Yeh Udaasee Kab Tak,
Padhne To Lagaa Phir Se, Hansne Kaa Sabak !
--------------------------
"MAJBOOREE"
----------------------
Lafzon Se Khelnaa Rahee Puraanee Aadat Meree,
Jab Koee Bhee Raat Lagne
Lagtee Hai Adhooree ;
Tab Kuchh Likh Kar, Ho Jaatee, Jasbaat Pooree,
Yeh Harkat Hee Sahee, Ab Huee Jaisee Majbooree !
-------------------------
"ANUMAAN"
-------------------
Agar Hai Saamne Dukaan, Aur Peechhe Makaan,
To Jeevan Har Roz Ban Saktaa Hai Imtihaan,
Dono Dishaa Mein Jab Ho Jaataa Apnaa Dhyaan,
Sab Kaam Hogaa Kyaa Jaise Thaa Anumaan ?
--------------------------
"HIFAAZAT"
------------------
Ek Oonchee Udaan Bharne Kee Rahee Hogee Us Kee Chhotee Chaahat,
Baadal Ke Paas Pahunchte Hee Panchhee Ko Milee Hogee Raahat,
Aasmaan Mein Karnee Padtee Hai Apnee Jaan Kee Hifaazat,
Yahee To Hai Is Baat Kee Sachee Aur Anokhee See Haqeeqat.
--------------------------
"TADBEER"
-----------------
Aage Badhne Ke Liye Banaa Letaa Hai Tadbeer,
Lekin Is Mein Aqsar Dakhal Dene Lagtee Hai Taqdeer ;
Jab Hilne Lagtee Hai Jaise Tangee Huee Ek Tasveer,
Tab Mehsoos Hotaa Yoon Hum Sab Hain Raahgeer.
-----------------------
"SHOR "
-----------
Khaamoshee Se Hotee Hai Kabhee Kaanon Mein Shor,
Tanhaaee Mein Mehsoos Hotaa Hai Ek Aisaa Zor ;
Baarish Se Pehle Garajtaa Hai Ghataa Ghan Ghor,
Aisee Kaee Baaton Mein, Mast Hai Man Kaa Mor !
-----------------------
Comments
Post a Comment