BOUQUET - 14
"DIN"
--------Din Mein Kabhee Sapne Dekhaa Naa Karo,
Jeevan Ho Gayaa Hai Ab 'Karo Yaa Maro',
Apnee Tijoree Mein Kuchh Naa Bharo,
Kisee Se Bhee Bilkul Hee Naa Daro.
--------------------------
"DARAAR"
----------------
Jab Chhod Ke Sab Kuchh, Jaane Ko Ho Gaye Tayyaar,
Peechhe Mud Ke Dekhnaa, Ho Saktaa Hai Dushwaar,
Par Mitaa To Denaa, Aapas Kee Dooree Aur Daraar,
Aglaa Janam Naa Ho To Kaise Mile Ek Aur Baar ? !
-----------------------
"PUTLAA"
---------------
Sabhee Kehte Hain Sach Hee Kaho,
Man Ko Kaaboo Mein Rakh Kar Raho,
Chhotee Takleef Ko Chup Chaap Saho,
Putlaa Ban Jaao, Aise To Naa Kaho !
-----------------------
"SHER"
-----------
'Sher To Moonh Dhotaa Nahee', Hai Ek Kahaawat,
'Sher Ban Ke To Jeenaa Seekh', Yeh Hai Naseehat,
Aisee Baatein Sun Kar, Sher Ne Kiyaa Bagaawat,
Soch Kar Majboor Huaa, Ke Aadmee Huaa Museebat !
---------------------
"DIMAAG"
---------------
Ek Ajnabee Mujhe Dekh Kar To Muskuraa Dee,
Mere Dimaag Kee Battee, Us Waqt Naheen Jalee,
Kuchh Soch Ne Baad Bhee Pahelee Yoon Rahee,
Tab Dil Ne Ek Salaah Dee 'Muskaan Se Hee Jee'.
----------------------
"SAMAAJ"
---------------
Sab Ke Saamne Agar Pehen Lete Ek Taaj,
Log Jaan Lenge Is Kee Naheen Koee Ilaaj,
Kaee Baar Dekhne Ke Baad, Oob Gayaa Samaaj,
Phir Bhee Kamee Naheen Hain, Aison Kee Aaj !
-----------------------
"NIRBAL"
-------------
Gham Ke Aalingan Se Nikal Baahar Ek Pal,
Aaj Ke Baad To Aayegaa Sunehraa Kal,
Phir Kyon Samajhte Ho, Khud Ko Nirbal ?
Josh Se Kadam Badhaate, Aage Hee Chal.
------------------------
"GUROOR"
----------------
Jo Moonh Tak Naa Aaye, Woh Hai Khattee Angoor,
Jis Muqaam Tak Naa Jaa Sake,Woh Hai Bahut Door; Kaam Adhooraa Chhod Jaaye, To The Majboor,
Kyaa Isee Ko Naheen Kehnaa Chaahiye Guroor ?
------------------------
"ILAAJ"
-----------
Ek Beemaaree Phail Gayee Jis Kee Naheen Koee Ilaaj,
Apnee Raay Se Alag Ho, Agar Aur Kisee Kee Misaaj,
Tab Harkat Par Utar Aane Lagte Hain, Kal Aur Aaj,
Aise Mein Bhalaa Kyaa Kar Saktaa Hai Apnaa Samaaj.
------------------------
"UTSAAH"
---------------
Jitnee Apnee Chaah, Utnee Lambee Hotee Hai Raah,
Palak Jhapakte, Bhatakne Lag Jaatee Hain Nigaah,
Ek Hee Jhalak Mein, Kum Hotaa Jaayegaa Utsaah,
Aise Mein To Bhar Le Aah, Bas Yahee Hai Salaah !
---------------------
Comments
Post a Comment