BOUQUET - 16
"HUMRAAZ"
-------------------
Raat Ke Andhere Mein Aa Gaee Ek Aawaaz,
Sapnon Kee Duniyaa Se Khulee Yeh Raaz,
Har Dum Naheen Miltaa Sahee Humraaz,
Jo Saath De, Aur Naa Bole Ek Bhee Alfaaz.
--------------------
"SALAAM"
----------------
Sooraj Kee Kirnon Ne Diyaa Ek Payaam,
Mujhe Dekh Kyon Dete Ho Roz Salaam,
Roshnee Failaanaa To Hai Meraa Kaam,
Jaataa Hoon Jab Dikhtaa Hai Shaam.
---------------------
"GHAR"
-----------
Ae Zindagee, Too Zaraa Dekh To Idhar,
Bataa De Mujhe Kahaan Hai Meraa Ghar,
Bhataktaa Ghoom Rahaa Hoon Darbadar,
Nashe Mein Huaa Kaise Itnaa Bekhabar ? !
-------------------
"INAAYAT"
----------------
Jin Aankhon Se Chhalaktee Hai Chaahat,
Yakeenan Dil Mein Hogee To Mohabbat,
Phir Kaahe Kee Itnee Bhee Nazaakat,
Jab Ek Bandaa Karne Lagaa Hai Inaayat ? !
--------------------
"BEQARAAR"
-------------------
Aaeenaa Mein To Dekhaa Hazaaron Baar,
Lagaa In Nainon Mein Hai Sirf Khumaar,
Kuchh Aur To Nazar Nahee Aayaa Yaar,
Isee Wajah Se Huaa Hoon Main Beqaraar !
--------------------
"DOOR"
-----------
Khud Apnee Nigaahon Se Hoon Main Door,
Is Kaaran Se Ho Gayaa Kuchh Majboor,
Par Dil Kee Dhadkan Tez Naheen Huzoor,
Khayaalon Mein Yeh Baat To Hai Zaroor.
-------------------
"QASOOR"
---------------
Ab Bhee Mujhe Woh Saahil Lagtaa Hai Door,
Shaayad Aankhon Kaa Ho Saktaa Hain Qasoor,
Is Mein Kuchh Hadh Tak To Hai Meraa Guroor,
Yeh Kaise Naheen Maan Le Mere Huzoor.
-------------------
"HAASIL"
-------------
Jeenaa To Kyaa, Marnaa Bhee Huaa Hai Mushqil,
Lagtaa Yoon Kabhee Ki Kuchh Naheen Haasil,
Chup Rehne Par Shaayad Bantaa Hoon Bismil,
Yaadein To Hain, Jaise Taaron Kee Jhilmil.
-------------------
"DHADKAN"
------------------
Koee Agar Ban Jaaye Dil Kee Dhadkan,
Har Kisee Kee Kar Detee Kum Uljhan,
Haseen Aks Jab Dikhaa Jaaye Darpan,
Laut Ke Aataa Hai Woh Guzraa Bachpan.
------------------
"NAADAANEE"
----------------------
Kuchh Pal Kee Khushee Aur Baaqee Naadaanee,
Aisee Adaayein Dikhaa Kar Ud Gaee Zindagaanee,
Gaur Se Dekhaa To Ekdum Samjhaa Yeh Kahaanee,
Yahaan Kisee Kee Naheen Chaltee Aanakaanee.
------------------
Comments
Post a Comment