BOUQUET - 17

"KUCHH"

--------------
Aaeenaa Hee Toot Gayaa Thaa, Meraa Dil To Nahee,
Ek Baat To Hai, Jo Main Kehnaa Chaahtaa Abhee,
Buraa Nahee Maan Lenaa Sun Ke Ise Kabhee,
Har Pal Kuchh Aisaa Hotaa Hai, Jo Lage Naa Sahee.
          --------------------

"DASTAK"
---------------
Is Sansaar Mein Har Koee To Khaalee Haath Aayaa,
Jo Kuchh Hai Is Waqt
Paas,Yahee Se To Paayaa,
Jab Maut Dastak Degaa, Saath Naa Hogaa Saayaa,
Kaun Ameer Aur Kaun Gareeb, Yeh Hain Maayaa.
          ---------------------

"KADAR"
-------------
Lagtaa Hai Meree Dostee Kee Hai Ab Kum Kadar,
Yaa Phir Aur Koee Baat Hai Jo Chhupee Hai Andar ;
Par Hone Lagaa Hai Kuchh Ab Aisaa Hee Asar,
Nazron Kaa Dhokaa Bhee Hotaa Hain Aksar !
         --------------------

"FIZAA"
-----------
Soyee Fizaa Bhee Ab To Hai Jaagee,
Khoyee Adaa To Phir Se Laut Aayee,
Kaalee Ghataa Milan Rut Le Ke Chhaaee, 
Thandee Hawaa Sang Bahaar Muskaaee !
        ---------------------

"YAAR"
-----------
Jahaan Chaar Yaar Mil Jaaye,
Aur Hawaa Bhee Jhoome Lehraaye, 
Agar Koee Ek Madhur Geet Gaaye,
Wahaan Se Bhalaa Kaise Jaa Paaye !
         ----------------------

"RAB"
---------
Jab Pratyek Dil Mein To Rab Hai Bastaa,
Tab Kyon Koee Poochhe Mandir Kaa Rastaa ?
Kyaa Behtar Naheen Bhent De Ek Guldastaa ?
Is Prakaar Kee Soch Bhee, Mujhe Hai Sataataa !
         ---------------------

"VIGYAAN"
----------------
Agar Hosle Ho Buland,  Sab Lagtaa Hai Aasaan,
Sunaa Hai, Aise Mein To Jhuk Jaataa Aasmaan,
Chaand Par Kadam Rakh Chukaa Hain Insaan,
Humen Khoob Aage Le Gayaa Hai Vigyaan.
         ----------------------

"AAJ"
--------
Aanewaalaa Kal Laa Saktaa Hai Ek Sapnaa,
Beetaa Huaa Kal Reh Gayaa Ban Ke Apnaa ;
Aaj Kaa Din Kaise Beetaa  Kuchh Naa Kehnaa,
Aksar Is Kism Ke Pal Mein Padtaa Hai Rehnaa !
          ----------------------

"SHAAMIL"
----------------
Haqeeqat Ko Chhupaa Denaa Hai Kitnaa Mushkil,
Yahee Baat Samjhaataa Rehtaa Hai Meraa Dil ;
Phir Bhee Jab Saj Jaatee Hai Yaaron Kee  Mehfil,
Bin Naaraaz Kiye, Main Ho Jaataa Hoon Shaamil.
        -----------------------

"BAGAAWAT"
--------------------
Koee Kehtaa Hai Ke Namak Zyaadaa Naa Khaaye Hum,
To Kisee Kee Salaah Hai Ke Hameshaa Cheenee Kum ;
Mehsoos Yoon Hotaa Hai, Nikle Jaa Rahen Hai Dum,
Par Kaise Karen Bagaawat,
Isee Baat Kaa Hai Ghum ? !
           ---------------------

Comments

Popular Posts