BOUQUET - 18

"YAAREE"

--------------
Phoolon Se Rahee Hain Meree Yaaree,
Charchit Hotee Thee Yeh Khoob Saaree,
Khushboo Detee Hee Hain Aisee Pyaaree,
Chhoo Jaatee Hai Sadaa Dil Kee Gehraayee.
       ---------------------

         
"AKAL"
----------
Har Kisee Kee Baat Main Ne To Gaur Se Sun Lee,
Lekin Antim Pal Mein To Apnee Hee Kar Daalee,
Tab Logon Ke Chehre Se Yoon Udee Hansee,
Yahaan Tak Ek Ne Kahaa 'Kab Akal Aayegee' ?
         ---------------------

"PAIT"
--------
Jaise Hee Beetne Lagte Hain Ghante Chaar,
Pait Se Soochnaa Aataa Hai Aise Lagaatar,
'Bhojan Ke Liye Main Kab Se Hoon Tayyaar,
Aise Naa Intezaar Karwaao O Mere Yaar' !
           ---------------------

"NIRAALAA"
------------------
Jeevan Kaa Har Nayaa Din Hotaa Hai Niraalaa,
Jab Pehlee Kiran Ke Sang Phailtaa Hai Ujaalaa,
Agar Haath Mein Ho Chaay Kaa Bhee Ek Pyaalaa,
Tab Zaroor Lagegaa 'Main Hoon Kismet Waalaa' !
         ----------------------

"SUNIYE"
--------------
Suniye To Zaraa Jeevan Kee Yeh Aslee Kahaanee,
Bachpan Mein To Hotee Hain Anek Man Maanee,
Jab Jawaanee Beet Jaatee To Phir Hotee Hairaanee,
Buzurg Hone Par Bahut Kuchh Lage Aanee Jaanee.
          ----------------------

"CHUNAUTEE"
----------------
Raat Gayee To Baat Bhee Gayee,
Is Dhoke Mein Rehte Hain Kayee,
Aayegee Yakeenan Ek Subah Nayee,
Lekin Chunautee Lekar To Sahee.
          --------------------- 

"SHAAYAD"
-----------------
Mujhe Sirf Khud Se Rahee Ek Shikaayat,
Kyon Nahee Kee Thodee See Sharaarat, 
Shaayad Yahee To Hai Meree Fitrat,
Ab Adhooree Hee Rahegee Yeh Hasrat !
         ---------------------

"UJWAL"
-------------
Sadaa Meethaa Hotaa Hai Sabr Kaa Phal,
Is Aadesh Ko Liye, Jeevan Mein Badhtaa Chal,
Chintaa Kisee Pal Naa Ho, Aaj Yaa Phir Kal,
MaanTo Le Zehen Mein, Bhavishya Hogaa Ujwal.
        ----------------------

"LOHAAR"
---------------
Sau Sonaar Kee Aur Ek Lohaar Kee,
Sabhee Jaankaar To Kehte Hain Yahee,
Yeh Kahaawat Hai Sau Feesad Sahee,
Baat Yeh Mere Palle Padaa, Sirf Abhee !
           ----------------------

"NEEND"
-------------
Raat Ko Agar Neend Naa Aaye,
Aap Bilkul Hee Naa Ghabraaye,
Soch Mein Tab, Sirf Rab Ko Laaye,
Aur Chain Kee Neend So Jaaye.
           ---------------------

Comments

Popular Posts