BOUQUET - 19

"ZINDAADIL"

-------------------
Samay Ke Saath Chalnaa, Pehle Hotaa Hai Mushkil,
Badalnee Padtee Aadat, Fitrat Mein Jo Shaamil,
Aitbaar Jab Ho, Sirf Is Imtihaan Se Miltee Manzil,
Koee Bhee Rukaawat Aaye,
Hum Rahenge Zindaadil.
           --------------------

"IMTIHAAN"
------------------
Meethee Muskaan Se Ho Jaataa Hai Nuksaan.
Jab Bin Bulaaye Koee Bantaa Hai Mehmaan,
Aur Sunaane Lagtaa Hai Apnaa Hee Daastaan,
Tab Shuroo Hotaa Hai, Ek Alag Kism Kaa Imtihaan !
           --------------------

"SOOLEE"
---------------
Kal Tak Aankhen Dikhaake, Woh Jaatee Rahee,
Aaj Nazrein Churaake, Soolee Pe Chadhaa Dee ;
Maaloom Nahee Aage Kyaa Tevar Pesh Karegee,
Raat Kee Neend Meree, Ab Udaa Ke Woh Chalee !
         ---------------------- 

"AARZOO"
---------------
Jab Se Chhaa Gayaa Teraa Yeh Jaadoo,
Man Meraa Hone Lagaa Hai Beqaaboo, 
Is Shikaayat Mein Hai Chhupee Khushboo,
Jis Se Mehak Rahee Hai Meree Aarzoo  !
          ---------------------

"HAIRAAN"
-----------------
Phir Se Ab Aa Gayee Hai Mujh Mein Jaan,
Naa Jaane Kyon Kal Rahaa Kuchh Bejaan,
Shaayad Kisee Yaad Ne Kiyaa Pareshaan,
Buzurg Aksar Rehte Honge Yoon Hairaan !
         ----------------------

"NAARAAZ"
-----------------
Koee Bhalaa Kyaa Jaane, Dil Se Judee Aawaaz,
Jab Khaamoshee Ke Parde Mein Ho Har Ek Alfaaz,
Tanhaaee  Mein Yoon Bayaan Hotaa Hai Andaaz,
Mehsoos Naa Ho To Bhee Mat Honaa Naaraaz !
          ---------------------

"AGAR"
-----------
Agar Tum Sunogee To Main Kuchh Boloon ?
Kal Jo Naa Bayaan Kar Sakaa, Aaj Keh Doon ?
Yeh Naazuk Saa Dil Meraa, Phir Se Laayaa Hoon,
Tum Ko Ho Sweekaar, To Khushee Se Jhoom Loon.
         ----------------------

"PYAASEE"
----------------
Din Jaisaa Rahaa, Raat Bhee Waisee,
Har Chehre Se Zaahir Haalat Aisee,
Zameen To Lagtee Hai Bahut Pyaasee,
Aisee Baatein, Kyaa Rahee Chhotee See ?
         ----------------------

"SAZAA"
------------
Yeh Sazaa Zindagee Kee, Hogee Aur Kitnee Der Kee,
Khataa Meree Kyaa Thee, Kisee Ne Naa Bataa Dee ;
Har Zulm Aur Sitam Ko Itminaan Se To Seh Lee,
Ab Yoon Chup Rehnaa, Mushkil Ho Gayaa, Jee !
         ----------------------

"CHILMAN"
-----------------
Tere Maathe Pe Hai Kyon Yeh Shikan ?
Bataa To De, Ae Meree  Jaan - E - Chaman,
Sataa Rahee Hai Kyaa, Ek Nayee Uljhan ?
Sarkaa De Zaraa, Chehre Se Chilman !
         ---------------------

Comments

Popular Posts