BOUQUET - 20

 "SAAHIL"

-------------
Agar Main Hotaa Saagar, Aur Too Saahil,
Jis Tarhaa Raaste Ho Do, Par Ek Manzil,
Yeh Kaise Huaa, Jaan Lenaa Hai Mushkil,
Shaayad Har Kisee Ko Pasand  Alag Mehfil.
          ---------------------

"TASVEER"
-----------------
Man Mein To Chhupee Hai Kisee Kee Tasveer,
Usee Kee Adaaon Par To Jhoomtee Taqdeer ;
Lagaa Jaise Haathon Mein Naheen Ab Zanjeer,
Koyee Inkaar Naheen, To Lag Gayee Hai Teer.
         ----------------------

"KHIDMAT"
-----------------
Dekhiye Zaraa, Pesh Hai Ab Aap Kee Khidmat,
Ek Dhadaktaa Huaa Cheez, Jis Kee Chaahat,
Aap Hee Ke Pehloo Reh Kar, Ho Salaamat,
Is Baat Ke Liye,  Agar Aap Bhee Hai Sehmat !
         ----------------------

"IRAADAA"
----------------
Hawaa Se Kheltee Huee, Yeh Teree Zulfein,
Muskaan Se To Sharmaa  Jaaye Ab Baharein,
Aur Lachaktee Chaal Kee Yeh Adaayein,  
Kyaa Iraadaa Yahee Meraa Hosh Udaayen ? !
         ---------------------

"PEHLE"
-------------
Pehle To Khwaabon Mein Sataayaa Gayaa,
Phir Betaab Jigar Ne Khoob Daraayaa,
Ke Dil Apnaa Ab Hone Lagaa Paraayaa,
Is Baat Ko Lekar, Khud Pe Taras Aayaa !
         ---------------------

"NAZAR"
-------------
Pehlee Hee Nazar Mein Khil Gayaa Gulaab,
Phir Mulaaqaat Ke Baad, Aa Gayaa Sailaab,
Teesree Tak To Shaadee Tay Huee Janaab,
Aage Chal Ke, Naa Rahaa Meraa Jawaab !
          ---------------------

"MOONH"
---------------
Jo Bhee Cheez Achchhee Dikhtee Hai,
Woh To Khoob Jaldee Biktee Hai ;
Is Haqeeqat Ko Too Jaantee Hai,
Moonh Ko Yoon, Kyon Banaatee Hai  ? !
         ---------------------

"QARAAR"
---------------
Khud Pe Jab Hone Lagaa Hai Kum Iftiyaar,
Taqdeer Ne Bhee Chheen Lee Meraa Qaraar,
Is Liye Sadaa Apne Par Chaahiye Aitbaar,
Dukh Aur Dard Tab Ho Jaayenge Faraar.
         --------------------

"BAAT"
----------------
Ek Baat Naa Jaane Kyon Sataatee Hai,
Kehne Par To Chain Kho Jaatee Hai,
Chup Rehne Par Aatmaa Rotee Hai,
Aksar Neend Bhee Udaa Detee Hai !
          ---------------------

"SHOLAY"
--------------
Garm Hawaa Chalee Aisee, Jaise Bhadak Gaye Sholay,
Dil  Kaa Haal Yoon Rahaa, Jaise Ke Pad Gaye Olay,   
Chaah To Yahee Thee, In Baaton Ko Jaldee Bhoolay,
Bhatkaa Huaa Insaan Bhee Raah Mein Chaltaa Haulay.
          --------------------

Comments

Popular Posts