BOUQUET - 23

 "GESOO"

-------------
Pehloo Mein Mere Aap Jab Kabhee Aa Jaatee,
Gesoo In Hawaaon Mein Ud Ke Lehraatee,
Chehre Pe Muskaan Bhee  Naheen Rok Letee, 
Sochtaa Hoon Kab Tak Rahegee Yoon Lehraatee.
         ---------------------

"SHARMAAEE"
----------------------
Dil Kee Baat, Zabaan Tak Nahee Aaee,
Naa Jaane Kyon, Hai Itnee Ghabraaee,
Chhotee See Baat Pe Aisee Sharmaaee !
          ---------------------

"CHUN"
------------
Zamaane Kee Baat Kabhee Naheen Ab Sun, 
Din Ho Yaa Raat, Rahegee Sirf Yaheen Dhun, 
Mere Sang Chal Kar Sapne Suhaane Bun, 
Aanewaale Kal Ke Sahee Raaste Chun. 
         ---------------------

"DEEWAAR"
------------------
Hum Dono Ke Beech, Kaise  Aayaa Yeh Deewaar,
Is Baat Ko Lekar, Main Ho Gayaa Hoon Bezaar,
Kis Wajah Se Yoon Huaa, Sochaa Kaee Baar, 
Jawaab Naa Milne Par, Ab Ho Gayaa Beqaraar.
          -------------------

"JHOOTHAA"
--------------------
Nainon Se Chhalkaa Pyaar, Jhoothaa Hee Sahee,
Is Dil Ko Milaa Qaraar, Thodaa To Abhee,
Sirf Yahee Chhotee Khwaaish Thee Kabhee,
Kuchh Hadh Tak Pooree Ho Gaee Iltijaa Meree.
          -------------------

"AJNABEE"
-------------
Mujhe Yoon Lagaa Jaise Chamkee Hai Bijlee,
Jab Chehre Par Tere Aaee Halkee See Hansee,
Roshan Kar Diyaa Mere Man Kee Har Ek Galee,
Aise Mein Kyaa Too Phir Rahegee Ek Ajnabee ? !
          -------------------

"AKASMAAT"
-------------------
Phir Se Yaad Aa Gaee Woh Pehlee Mulaaqaat,
Shuroo Tab Huee Thee Halkee See Barsaat,
Jaise Mausam Kee Taraf Se Bhee Tehkeekaat,
Yoon Hee Baatein, Khatam Ho Gaee Akasmaat !
          --------------------

"BURAAEE"
-----------------
Aisee Baatein Samajh Mein Meree Naheen Aaee,
Kaise Ghanton Tak Log Karte Hain Buraaee,
Waqt Beet Jaaye Par Rehtee Hai Parchhaaee,
Behtar Is Se Naheen Kyaa Dekh Le Achchhaaee ? !
            --------------------

"CHINGAAREE"
-----------------------
Nainon Se Us Kee Jab Niklee Ek Chingaaree, 
Chain Khoyaa, Par Woh Lagee Khoob Pyaaree ;
Jee Chaahaa, Ho Jaaye Baatein, Bahut Saaree, 
Yakeen To Huaa, Man Mein Lagaa Agan Bharee. 
           --------------------

"DUAA"
-----------
Jeevan Rahen Safal, Yeh Tere Liye Hain Duaa,
Beete Samay Ke Dukhon Ko,Turant Hee Bhulaa,
Yaadon Mein Rakh Kar, Kyaa Kuchh Milaa ?
Kal Jab Aayegaa, Naa Soch, Aaj Kyaa Huaa. 
        ---------------------

Comments

Popular Posts