BOUQUET - 24

"SAFAR"

------------
Ab Itne Zyaadaa Saal Kee Ho Gaee Hain Umar,
Beetee Huee Baatein Bhee Yaad Hain Baraabar ;
Par, Aaj Subah Kyaa Huaa, Naheen Hain Khabar, 
'Ussee - Nabbe' Tak Kaise
Rahegaa Yeh Safar ? !
         --------------------

"SAWAAL"
---------------
Aqsar Poochhe Jaate Hain Mujh Se Yeh Sawaal, 
Akele Ho Jaaye, To Kyaa Hogaa Apnaa Haal, 
Shaayad Naheen Rahegaa Tab, Sur Mein Taal, 
Fikr Kyon Karen, Jab Sab Hain Maayaa Jaal !
        ---------------------

"KEHNAA"
---------------
Jab Kisee Ke Saath To Naheen Hain Rehnaa, 
Tab Hum Kyon Maan Le Gairon Kaa Kehnaa,
Soch Ke Zaraa Bataaye, Yeh Sach Hai Naa ?
Khud Se Bhee Naheen Hai Hairaan Rehnaa !
         -------------------

"GHAR"
-----------
Sheeshe Kaa Hotaa Hai Har Kisee Kaa Ghar, 
Naaraaz Hokar Kabhee Naa Uthaaye Patthar ;
Sansaar Ko Sudhaarne Kaa Vichaar Hai Agar,
Aaeene Mein To Dekhe Chehraa Pal Bhar !
         --------------------

"KHAYAAL"
-----------------
Bolay Aise Ke Ban Jaaye Ek Misaal, 
Sochay Yoon Ke Rahen Khush Haal,
Karen Is Tarhaa,  Ho Jaaye Kamaal, 
Bataa De Sab, Kaise Rahaa Khayaal ?
          --------------------

"BEKHABAR"
--------------------
Chaahaa Naheen Magar, Dil Par Huaa Asar, 
Ek Magroor Dilbar, Chhod Gaee Yeh Dagar ;
Chun Kar Nayaa Humsafar,  Utsaah Se Khilkar, 
Jeene Lagee Jaise, Har Koee Hai Bekhabar. 
        --------------------

"DEEWAANAA"
----------------------
Ek Ajnabee Dekh Mujhe Lagaa Muskuraanaa, 
Chehraa Lagaa Kuchh Jaanaa Pehchaanaa ;
Koshish To Kee Naam Dhoond Nikaalnaa,
Yaadon Ne Sirf Yeh Keh Daalaa, 'Deewaanaa' !
          --------------------

"ASAR"
--------------------
Aashiq Kee Nigaahon Mein Rehtee Hai Dilbar, 
Kisee Aur Baat Kee Kyaa Hotee Naheen Asar ?
Nazron Pe Fidaa Honaa Kamaal Hai Aqsar,
Pal Bhar Ke Liye To Dikkat Hotee Hai Magar.
          --------------------

"AKAL"
---------------
Dil Mein Ab Naheen Hotee Koee Bhee Halchal,
Lekin Yaadon Ko Naheen  Kar Paayaa Badal ;
Jawaanee Mein Dil To Gayaa Thaa Machal, 
Shaayad Umr Ke Badhte Hee Aa Gayaa Akal  !
          --------------------

"PARBAT"
--------------
Bahut Samjhaayaa Ke Naa Kar Aisee Harqat, 
Par Ek Dost Mein Aa Gaee Itnee Himmat,
Ke Chadhnaa Chaahaa Himaalay Parbat, 
Niklaa Seenaa Taan Kar Shat Pratishat !
           -------------------

Comments

Popular Posts