BOUQUET - 25
"KHUMAAR"
-------------------Jab Se Har Dishaa Se Aaee Hai Raunaq- E- Bahaar,
Aankhon Mein To Chhaa Gayaa Aisaa Khumaar,
Jaise Dil Ke Bheetar Bhee Hai Ek Chaahat Sanwaar,
Kyaa Isee Ko Sab Kehte Hain, Srishtee Se Pyaar ? !
-------------------
"SHAAYAREE"
---------------------
Ek Din Shaayad Mujhe Aa Jaayegee Shaayaree,
Kavitaa Likhne Kee Ab Ho Gaee Hai Beemaaree,
Kuchh Aisee Baatein Hain Jo Lage Mujhe Nyaaree,
Pataa Naheen Sabhee Ko Bhee Kyaa Lage Pyaaree.
-------------------
"SAYAANAA"
-------------------
Kum Bol Ke Jo Jiye Us Ko Kehte Hain Sayaanaa,
Yeh Baat Shaayad Kaee Logon Ne Naa Jaanaa,
Chup Rehne Ko Bhee Jab Chaahiye Ek Bahaanaa,
Hum Kahenge Yeh Aayaa Ab Kaisaa Zamaanaa !
--------------------
"WASEEYAT"
-------------------
Yeh To Rahee Zindagee Kee Ek Aslee Haqeeqat,
Log Chaahe To Is Ko Keh Sakte Hai Museebat,
Kuchh Aulaad Dekhnaa Chaahte Hain Waseeyat,
Shaq Ke Daayre Mein Hai Khud Kee Kaabiliyat !
-------------------
"AAG"
---------
Dikh Gayaa Dhuaan, To Samjhe, Lagee Hai Aag,
Jaise Beemaaree Chhod Jaatee Hain Bismil Daag,
In Baaton Se To Hum Naheen Sakte Hain Bhaag.
--------------------
"AKAL"
----------
Khilonaa Toot Gayaa To Bachchaa Khoob Royaa,
Pati Kehnaa Naa Maanaa To Beewee Ne Dhoyaa,
Naukree Jab Chalee Gaee To Chain Hee Khoyaa,
Kyaa Aise Samay, Akal Kabhee Kaam Aayaa ?
------------------
"FASAANAA"
-------------------
Nazrein Naheen Dikhaatee Ab Door Kaa Nishaanaa,
Yeh Hai Ek Buzurg Kaa Dard Bharaa Fasaanaa,
Dimaag Mein To Basaa Hai Ek Behtareen Taraanaa,
Par In Haalaaton Se Ab Kaahe Kaa Ghabraanaa.
-------------------
"BEZUBAAN"
-------------------
Sadaa Apnee Hee Dhun Mein Rehte Hain Insaan,
Is Aadat Se Hat Ke Pesh Aate Hain Bezubaan,
Aafat Mein Zaroor Ban Jaate Hain Qadardaan,
Sirf Faayde Ke Liye Naheen Bante Hain Mehrbaan.
-------------------
"HAARAA"
---------------
Zindagee Ke Har Kadam Par Agar Koee Haaraa,
Mehsoos Hogaa Gardish Mein Gayaa Sitaaraa,
Bekaar Lagegaa Khwaabon Kaa Mast Sahaaraa,
Bagair Muskaan Chalegaa Dhoondte Kinaaraa.
--------------------
"ANJAAM"
---------------
Agar Koee Mujh Se Poochh Letaa, Kewal Meraa Kaam,
Sochtaa, Pehle To Poochh Lete, Kyaa Hai Naam,
Apnee Zindagee Kee Jab Ab Ho Gaee Hai Shaam,
Aage Chaltaa Hoon Befikr Kuchh Bhee Ho Anjaam !
-------------------
हिंदी में होता तो अच्छा रहता
ReplyDeleteThank you very much for your response. But your name has come as Anonymous. Kindly let me know your name.
ReplyDeleteThe poems in Hindi ( Devnagari script ) will follow soon. At present, there are 7 full lots of Guldastaa and 1 partially lot with 4 poems, duly published in May 2023.