BOUQUET - 3

  "RAAG"

------------

Yaadon Se Judaa, Ab Main Gayaa Hoon Jaag, 

Chust Reh Kar Jeenaa Hai, Is Waqt Kaa Raag ;

Is Umr Mein To Ab Main Naheen Saktaa Bhaag.

   -------------------------------


"BAYAAN"

---------------

Chehre Pe Khil Gayaa Hai Phool Jaisaa Muskaan, 

Kaheen Koee Rajkumar Ban Gayaa Hai Mehmaan?

Jo Udaa Ke Lejaa Sakegaa Ab Saaton Aasmaan,

Aapas Kee Baatein, Kabhee Naheen  Hotee  Bayaan !

   -------------------------------


"SEHRAA"

---------------

Naa Baandh Sar Pe Aise Kaamyaabee Kaa Sehraa,

Thokar Lagne Par Padegaa Asar Khoob Gehraa, 

Tab Sirf Dikhaaee Degaa Ek Rang Udaa Chehraa,

Yaad To Aayegaa, Beetaa Huaa Daur Sunehraa

   -------------------------------


"GAREEB"

---------------

Har Gareeb Ko Muqaddar Ne Aisaa Panjaa Maaraa, 

Kaheen Se Bhee Naheen Miltaa Thodaa Sahaaraa, 

Ummeed Hai Ke Maut Se Mil Jaayegaa Ishaaraa,

Tab Shaayad Mil Saktaa Hai Koee Nayaa Kinaaraa.

   -------------------------------


"NAZAARAA"

--------------------

Dekhne Lagaa Main Ek Behad Dilkash Nazaaraa,

Baadalon Ne Jhuk Kar Kiyaa Haseen Ishaaraa, 

Waise To Lagaa Yeh Hai Sirf Ek Sapnaa Meraa,

Karwat Badalte, Keh Diyaa "Sone De Aur Zaraa" !

    ------------------------------


"GHANTEE"

------------------

Band Aankhen Jab Sapne Sajaatee Hai,

Sard Hawaaen Gaalon Ko Sehlaatee Hai, 

Meethee Loree Kaanon Ko Behlaatee Hai, 

Aise Mein Ghantee Kyon Bajne Lagtee Hai ? !

   ------------------------------



"AAZMAAISH"

----------------------

Zindagee Ban Gayee Hai Sirf Ek Khwaaish,

Aage Badhne Ke Liye To Chaahiye Sifaarish,

Aise Mein To Ab Yahee Hai Meree Guzaarish,

Kyaa Main Kuchh Hat Ke Karoon Aazmaaish ? !

      --------------------------


"MATLAB"

---------------

Lekar Naam Teraa Kuchh Aisaa Kar Jaaye,

Sabhee Ke Zabaan Pe Is Kadar Chhaaye, 

Dil Aur Dimaag Dono Mein Khoob Samaaye, 

Matlab Yeh Ke Mere Bhee Achchhe Din Aaye.

      ---------------------------


"NAAYAAB"

----------------

Maanaa Aap Ke Paas Hai Haazir Jawaab,

Par Meraa Sawaal Kuchh Aur Hai Janaab,

Apne Haath Mein Dekhaa Thaa Ek Kitaab,

Log Kehte Hai Ke Woh Hai Bilkul Naayaab. 

     -----------------------------


""MUQADDAR"

---------------------

Jab Hotaa Naheen Kuchh Apnee Marzee Ke Anusaar,

Tab Saare Sapne Lagne Lagte Hain Bilkul Bekaar,

Ae Muqaddar, Tujh Se Ab Maan Liyaa Hai Haar, 

Phir Bhee Ummeed Hai, Mil Jaayegaa Thodaa Pyaar.

     ---------------------------


Comments

Popular Posts