BOUQUET - 4
BEDARDEE
------------------Chehraa Dikhaa Kar Too Ne Gazab Hee Kiyaa,
Dil Kaa Chain Bhee
Is Kadar Udaa Diyaa,
Soch Mein Hoon Main Ke Ab Tak Kaise Jiyaa,
Itnee Bedardee Se To Is Dil Ko Churaa Liyaa !
------------------------------
WAAPAS
---------------
Sach Kehtaa Hoon Tum Ne Meraa Bhalaa Hee Kiyaa,
Too Chhod Ke Gayee To Main Khush Hokar Jiyaa,
Beete Puraanee Yaadon Ko Bhee Bhulaa Hee Diyaa,
Der Se To Sahee, Khoyaa Dil Waapas Le Liyaa !
------------------------------
"ROSHNEE"
------------------
Diye Kee Roshnee Ke Saath To Dhuaan Bhee Niklaa,
Logon Kee Muskaan Dekh Dil Kyon Nahee Machlaa;
Shaayad Duniyaa Wohee Hai Par Main To Badlaa,
Yeh Bandaa Naheen Reh Gayaa Ab Utnaa Paglaa !
-----------------------------
"BACHPAN"
------------------
Main Ghanton Tak Dekhtaa Rahaa Woh Darpan,
Daulat Naheen Milee, Par Lut To Gayaa Bachpan,
Aadat Se Majboor Agar Kabhee Huaa Darshan,
To Phir Sochtaa Kahaan Gayaa Woh Bholaapan ?
------------------------------
"TOOFAN"
---------------
Mausam Ko Dekho, Lekar Aayaa Kaisaa Toofaan,
Dil Mein Bhee Ubharne Lagaa Ek Aisaa Armaan;
Shaayad Ab Yahee Hai Daataa Kaa Farmaan,
Kaaboo Mein Isse Laanaa Lagtaa Naheen Aasaan.
------------------------------
"KAANTE"
----------------
Agar Kaante Aur Patte Kaa Ho Aapas Mein Waar,
Tey Hai Kaante Kee Jeet Aur Patte Kaa Haar;
Duniyaa Ne Yeh Atal Sach Dikhlaayaa Anek Baar,
Naa Jaane Phir Kyon Hum Khaate Dhoke Aur Maar ?
-----------------------------
"BEZAAR"
----------------
Dilbar Kaa Ho Jaaye Ek Baar Deedaar,
Aasmaan Se Jo Barsaa Itnaa Pyaar,
Aise Mein Main Hotaa Bahut Bezaar,
Jab Karnaa Padtaa Hai Pal Bhar Intezaar !
------------------------------
"AANSOO"
----------------
Apnon Kee Yaadon Mein Is Kadar Bas Jaaye,
Jaane Ke Baad, Sabhee Do Aansoo Bahaaye,
Maqsad Yeh Naheen Kisee Ko Bewajah Rulaaye,
Bas Aatmaa Ko Zaraa Saa Sukoon Mil Jaaye.
------------------------------
"AKELE"
--------------
Is Duniyaa Mein To Hum Aate Hain Akele,
Antim Samay Mein Jaate Naheen Dukele,
Jeevan Bhar Aakhir Kyon Dhoondte Hain Mele ?
Jis Se Kewal Badh Jaate Hain Jhamele !
------------------------------
"NASHAA"
-----------------
Thehro Abhee Raat Kaa Nashaa Utraa Naheen,
Dhoondo Bekhudee Kaa Aalam Yaheen Kaheen ;
Kisee Se Poochh Lo Sab Kuchh Hai Kyon Haseen ? !
------------------------------
Comments
Post a Comment