BOUQUET - 26
"RAAH"
-----------Yeh Duniyaa Jab Tak Isee Tarhaa Chalegee,
Taqdeer Ek Naee Raah Dikhaatee Rahegee,
Muskuraate Huwe Agar Too Aage Badhegee,
Bilkul Shaq Naheen, Manzil Nazdeek Aayegee.
------------------
"UMAR"
------------
Umar Kee Zaroor Hotee Hai Hairaanee,
Qamar Ke Dard Se To Hai Pareshaanee,
Par Ehsaas Hai Ke Sab Hai Aanee Jaanee,
Sweekaar Hai Is Liye, Yeh Apnee Kahaanee.
--------------------
"NAAZNEEN"
--------------------
Hawaa Hai Bheegee, Rut Hai Haseen,
Aise Mein To Lage Sab Kuchh Rangeen,
Aasmaan Se Itnee Izzat Paa Ke Zameen,
Naach Rahee Hai Jaise Sundar Naazneen.
------------------
"SAFAL"
------------
Jab Aage Hai Ek Ujjwal Kal,
Nidar Ho Kar Badhtaa Chal,
Ruk Nahee Jaanaa Ek Pal,
Rastaa To Hai Saaf Safal.
-----------------
"SHIKAAYAT"
-------------------
Zindagee Se Kyon Karen Koee Shikaayat,
Jab Saadgee Mein Hai Itnee Nazaakat,
Kab Se Rahee Hai Thodee Hee Zaroorat,
Sab Se Badee Daulat To Ab Hai Raahat.
------------------
"ZANJEER"
-----------------
Baandh Naa Sake Jise Koee Zanjeer,
Ek Aazaad Panchhee Hoon Be - Peer,
Karishmaa To Kee Hai Ek Tasveer,
Aisaa Jaadoo Kiyaa Hai Taqdeer.
------------------
"MUMKIN"
----------------
Saayaa Kabhee Nahee Saath Chhod Sakegaa,
Kaayaa Bhee Palat Jaaye To Paas Rahegaa,
Lekin Bure Waqt Mein Dost Bhaag Jaayegaa,
Mumkin Hai Koee Aas Paas Naa Dikhegaa.
-------------------
"MAAJRAA"
------------------
Bataa of To Sahee Kyaa Hai Maajraa,
Nainon Mein Daalee Ho Itnaa Kajraa,
Lat Se Mehak Rahaa Sundar Gajraa,
Kyaa Mausam Kaa Hai Asar Gehraa ? !
------------------
"ANJAAN"
---------------
Apne Aap Par Hameshaa Itnaa Dhyaan,
Kyon Detaa Rehtaa Har Koee Insaan,
Kab Hogee Apnee Aslee Pehchaan,
Jaan Kar Bhee Kyon Bante Hain Anjaan ?
--------------------
"WAKAALAT"
--------------------
Ab Koee Naheen Kaaregaa Meree Wakaalat,
Lekin Hans Rahaa Hoon Dekh Apnee Haalat,
Nazar Andaaz Karne Kee Ho Gaee Hai Aadat,
Waise Kyaa Hai Faaydaa Kar Ke Bagaawat ? !
-------------------
Comments
Post a Comment