BOUQUET - 27

 "JAAM"

------------
Kyaa Soch Kar Log Uthaate Hain Jaam,
Is Liye Ke Thodee Der Mil Sake Aaraam, 
Khud Ko Yoon Bigaad Dene Kaa Yeh Kaam,
Aadat Ho Jaane Par, Buraa Hogaa Anjaam !
         -------------------

"PARESHAANEE"
-------------------------
Yaad Aa Rahee Hai Beete Dinon Kee Ek Kahaanee, 
Keh To Naheen Sakoongaa Yeh Apnee Zabaanee, 
Is Mein Kuchh Naheen Hai Meree Manmaanee,
Lekin Ho Jaayegee Kisee Ke Liye Pareshaanee.
          ------------------

"BECHAARAA"
---------------------
Aisaa Bhee Hotaa Hai, Jise Log Kehte Bechaaraa,  Dimaag Par Us Ke Hai Ek  Bhoot Sanwaaraa, 
Shaayad Yeh Vyaktee Hai Sab Kaa Nakaaraa,
Jis Se To Ban Gayaa Hai Thodaa Aawaaraa.
          ------------------

"KAMAAL"
---------------
Guzar Gayaa Aise Hee, Ek Aur Saal, 
Kar Naheen Paayaa, Koee Bhee Kamaal,
Ab Beshak Uthegaa, Yahee Ek Sawaal,
Aise Jee Kar Kyaa Haasil, Mere Laal ? !
          --------------------

"STHAL"
------------
Dhoond  Rahaa Hoon Main Aisaa Sthal, 
Jahaan Chal Bhee Sakoon Sar Ke Bal,
Kaun Jaane Aage Hogaa Kyaa Kal,
Khul Ke To Jeenaa Hai Har Ek Pal.
            -------------------

"TABASSUM"
--------------------
Jeewan Mein Ek Daur Phir Aisaa Aayaa, 
Rukh Par  Bhee Tabassum Rang Laayaa,
Kaafee Hadh Tak To Gham Ko Hataayaa,
'Ab Jee Rahaa Hoon', Main Keh Paayaa !
         ---------------------

"CHAAH"
--------------
Ab Jab Naheen Reh Gaee Koee Chaah, 
Tab Kyon Karoon Kisee Kee Parwaah, 
Waise To Sun Kar Sabhee Kee Salaah,
Main Bhoolne Lagaa, Khud Apnee Raah.
           -------------------

"UDHAAS"
----------------
Aadmee Kyon Hotaa Hai Udhaas, 
Jab Sab Kuchh Hain Un Ke Paas, 
Shaayad Aur Daulat Paane Kee Aas, 
Yahee Ek Baat Sataatee Hai Khaas.
         --------------------

"AITRAAZ"
----------------
Meree Is Raay Se Naa Karo Aitraaz, 
Zindagee Se Yoon, Naa Ho Naaraaz, 
Bandagee Se Chhalaktee Hai Raaz,
Jaise Saaz Se Niklee Huee Aawaaz.
          -------------------

"SATAAYAA"
------------------
Log Kehte Hain Ke Beetee Baaton Ne Sataayaa,
Chain Se Kabhee Jeene Bhee Naheen Paayaa,
Bhoolne Kaa Tareekaa Kisee Ne To Bataayaa,
Par Baat Theek Se Samajh Mein Naheen Aayaa !
          -------------------

Comments

Popular Posts