BOUQUET - 28
-------------
Naheen Kar Sakaa Koee Kaam Mahaan,
Reh To Gayaa Bas Ek Chhotaa Insaan,
Phir Yoon Soch Kar Aa Gayee Jaan,
Zaroor Paa Sakaa Thodaa Saa Gyaan !
-------------------
"HAAL"
----------
Pehle Aqsar Sataataa Thaa Mujhe Ek Sawaal,
Jeewan Mein Kyon Naheen Huaa Koee Dhamaal,
Haath Mein Reh Gayaa Sirf Ek Chhotaa Roomaal,
Ab Main Jaan Gayaa, Kyon Aisaa Huaa Haal !
-------------------
"MAJBOOR"
------------------
Dil Ho Jaataa Hai Aqsar Majboor,
Chhaa Jaaye Jab Husn Kaa Suroor,
Is Mein Naheen Kisee Kaa Qasoor,
Lekin Sayyam Rakhnaa Hai Zaroor.
-------------------
"SAR"
---------
Is Jeewan Ke Mushkil Raahon Par,
Ek Pal Ruk Kar, Zaraa Sochaa Kar,
Kyaa Kabhee Jhukaane Se Apnaa Sar,
Ghat To Gayaa Hai Maan , Pal Bhar ? !
-------------------
"NAADAAN"
------------------
Har Roz Yeh Nayaa Imtihaan,
Chehre Se Udaa Detaa Hai Muskaan,
Aksar Kar Detaa Hai Mujhe Pareshaan,
Shaayad Main Hoon Ab Bhee Naadaan.
-------------------
"BEQASOOR"
--------------------
Main To Hargiz Nahee Hoon Beqasoor,
Mujh Main Hain Thodaa Saa Guroor,
Shaayad Kuchh Paagal Bhee Zaroor,
Par Afsos, Aadat Se To Hoon Majboor.
-------------------
"BETAAB"
--------------
Kyaa Jaane Meraa Dil Hai Kyon Betaab,
Mehaktaa Naheen Kyaa Ab Bhee Gulaab,
Chhalaktaa Naheen Jaam Mein Sharaab,
Phir Jee Kyon Hai Yoon Hee Kharaab ? !
--------------------
"DAAD"
-----------
Zindagee Ke Mod Par Haar Jhelne Ke Baad,
Kuchh Log To Karte Hain Khoob Fariyaad,
Agar Koee Dene Lagaa Isee Baat Ko Daad,
Samajh Le Ke Dimaag Se Mitaa Diyaa Yaad.
-------------------
"BAHAAR"
---------------
Sabhee Dishaaon Mein Nazar Aaee Hain Bahaar,
Lag Yoon Rahaa Hai Jaise Huaa Hogaa Chamatkaar,
Yeh Kaise Huaa, Sochtaa Rahaa Hazaaron Baar,
Lekin Abhee Tak Naheen Pataa Chalaa Mere Yaar.
-------------------
"AASMAAN"
------------------
Jhuk Kar Kiyaa Taareef Yeh Neelaa Aasmaan,
Jaise Ke Dil Ho Gayaa Thaa Zaraa Beimaan,
Pehlee Hee Nazar Mein Dekh Ke Yeh Muskaan,
Zameen Ke Dil Mein, Bhar Gayaa Khoob Armaan !
------------------
Comments
Post a Comment