BOUQUET - 29
"AADAT"
-------------Shaam Hote Hee Jaam Uthaane Kee Aadat,
Yakeen Kar Le, Lagtee Hai Jaise Koee Ibaadat,
Sooraj Kee Kirnon Ne Kyaa Dee Thee Ijaazat,
Patnee Kee Zaroor Hotee Hogee Shikaayat.
------------------
"BEDILEE"
----------------
Bedilee Waise Kisee Ko Bhee Naheen Sajtee,
Yeh Haqeeqat Kum Logon Ko Samajh Mein Aatee,
Haseen Nazrein Sabhee Ko Hameshaa Bhaatee,
Kaash Yeh Baat Dimaag Mein Baith Jaatee !
-------------------
"BAARAAT"
----------------
Meree Samajh Ke Baahar Hai Ek Baat,
Kyon Karwat Badalte Guzar Gaee Raat,
Kisee Se Naheen Huee Thee Mulaaqaat,
Nazar Aayee Kyon Taaron Kee Baaraat ? !
-------------------
"LAACHAAR"
-------------------
Khud Apnee Aadaton Se Hain Log Laachaar,
Phir Bhee Badalne Ko Naheen HainTayyaar ;
Waise Yeh Naee Baat Kahaan Barkhudaar,
Shikaayat To Karte Rehte Hain, Aksar Baar.
-----------------
"SALAAM"
---------------
Buree Aadaton Par Zaroor Lagaa Le Rok Thaam,
Aakhir Kyaa Hotaa Haasil, Uthaake Kuchh Jaam,
Saath Mein Naa Bhoole Dhuaan Kaa Anjaam,
Aise Badlaaw Laa Sake, To Hai Kaabil - E - Salaam.
------------------
"KHAZAANAA"
----------------------
Jeevan To Hai Beshaq Ek Anmol Khazaanaa,
Is Liye Muskuraahat Se Hain Jee Lenaa,
Nainon Mein Aansoo Ko Aane Naheen Denaa,
Maan Ke Yeh Sach, Aage Badhte Hee Chalnaa.
------------------
"DAAG"
-----------
Zakhm Jo Gehraa Thaa Chhod Gaye Daag,
Lekin Abhee Tak Dil Mein Hai Kuchh Aag,
Jaise Bujhaane Ke Baad Rehtaa Hai Chiraag,
Log Kehte Hain Aisee Uljhan Se Bhaag !
-------------------
"RIVAAJ"
--------------
Jeewan Mein Dekhaa Kuchh Aisaa Bhee Rivaaj,
Bardaasht Karne Ke Siwaa Naheen Hai Koee Ilaaj ;
Dimaag To Kehtaa Hai 'Haay Yeh Kaisaa Samaaj' !
------------------
"ADAA"
-----------
Qaatilaanaa Hai Us Kee Har Adaa,
Yeh Jaan Ke Bhee Kyon Dil Hai Fidaa,
Baat Yeh Hai Ke Aataa Hai Mazaa,
Chal Ke Aage, Mil Jaayegee Sazaa !
------------------
"KADARDAAN"
----------------------
Jab Khud Ko Lagne Lagtaa Hai Anjaan,
Tab Kyaa Khaak Jiyegaa Aisaa Insaan,
Bhale Kitne Bhee Ho Dil Ke Armaan,
Ek Naheen Hogaa Apnaa Kadardaan.
-------------------
Comments
Post a Comment