BOUQUET - 31


"SHAADEE"
-----------------
Shaadee To Aajkal, Aqsar Hee Naheen Tiktee,
Wajah Is Kee, Samajh Mein Hai Zaroor Aatee,
Phir Kaahe Kee Yeh Band,  Baajaa, Baaraatee,
Yaad Kar Le, Woh Kissaa, 'Diyaa Aur Baatee' !
           ------------------

"DULHAN"
----------------
Pehle Hameshaa Dulhan Dekhtee Thee Sapnaa,
Ke Jeewan Bhar Ke Liye Mil Jaaye Koee Apnaa,
Lekin Ho Gayaa Hai Aajkal, Barson Kaa Tadapnaa,
Kis Qadar Ghaatak Huaa Hai Dil Kaa Dhadaknaa !
          -------------------

"QAYAAMAT"
--------------------
Kisee Kee Nazron Ko Agar Samjhe Qayaamat,
Aage Chal Ke Yakeenan Hogee Mohabbat, 
Badal Kar Roop, Ban Saktee Hain Ibaadat,
Jab Donon Hee Taraf Se, Naheen Hain Shikaayat.
           ------------------

"PUKAAR"
---------------
Khaamosh Baithee Hai Kar Ke Solah Shringaar,
Dil Ne To Pehle Hee Se Kiyaa Hai Sweekaar,  Abhee Intezaar Hai Unkee Taraf Se Pukaar,
Phir Din Mein Dikh Jaaye Taaren Beshumaar.
          -------------------

"NIGAAHEIN"   
--------------------
Aksar Baatein Bayaan Kar Detee Hain Nigaahein, 
Zaahir See Ho Jaatee Hain Chhipaaee Huee Aahein,
Saath Chalne Kee Chaah, Pesh Kartee Hain Baahein,
Khud Hee Chun Sakte Hain Man Pasand Raahein.
           --------------------

"GUMSUM"
-----------------
Koee Chot Khaa Kar Bhee Hai Itnaa Gumsum,
Jaise Ke Badan Par Aa Giraa Hai Ek Kusum, 
Shaayad Isee Tarhaa Kee Dikkat Mein Ho Tum,
Lekin Lagtaa Hai Jaise Gaa Rahen Ho Tarannum !
            ------------------

"BANSEE"
---------------
Jab Churaa Lee Thee, Too Ne Meree Bansee,
Niklee Thee Teree Ek Muskaan Halkee See,
Zaahir Hai Ab, Ke Too Bhee To Hai Phansee,
Phir Roktee Kyon Hai Ek Khulee Hansee ? !
            ------------------

"RUKHSAAR"
--------------------
Jab Se Main Ne Dekhaa Hai Teraa Rukhsaar, 
Tab Se Yeh Dil Huaa Hai Tujh Par Hee Nisaar,
Ab Sapne Mein Too Aane Lagee Hai Kaee Baar, 
Kab Taqdeer Mein Meree, Too Laayegee Bahaar ? !
            -------------------

"ZINDAGEE"
-------------------
Zindagee Too Mujh Se Is Qadar Sharmaayegee,
Jaldee Hee Kuchh Aur Qareeb Aa Jaayegee, 
Bandgee Tere Saath To Yoon Hee Rahegee,
Par Tezee Laane Kee Adaa Too Kab Seekhegee ?
          --------------------

"JAWAAB"
----------------
Kaee Baar To Huaa Hai Yeh Dil Betaab, 
Par Itnaa Kabhee Naheen Mere Janaab, 
Haqeeqat To Hai, Par Lagtaa Hai Khwaab, 
Koee To Batlaaye Is Kaa Sahee Jawaab.
           -------------------

Comments

Popular Posts