BOUQUET - 32
-----------------
Gardish Se Jo Koee Bhee Ghabraa Saa Gayaa,
Sochtaa Hogaa Main Kyon Yahaan Aayaa ;
Bhool Jaate Hain Kyaa Kuchh Paayaa,
Andhkaar Mein Chhup Jaataa Hai Saayaa !
-------------------
"JALWAA"
---------------
Guzre Kal Se Aqsar Hotaa Hai Yeh Shikwaa,
Itnaa Kyon Yaad Aataa Hai Puraanaa Jalwaa,
Jab Jeenaa Chaahte Hain, Lekar Aaj Kee Hawaa,
Kal Kee Woh Kahaanee, Bhoolne De Sadaa.
--------------------
"ANGAARE"
-----------------
Yeh Raat Kehtee Hai, Tere Din To Ho Gaye Poore,
Main Kehtaa Hoon, Kuchh Khwaab Hain Adhoore,
Maan Bhee Liyaa, Kaee Phool Ban Gaye Angaare,
Lekin Dekh To Le, Jab Kum Ho Jaaye Andhere !
------------------
"SITAARAA"
-----------------
Chaand Ke Qareeb Jo Rehtaa Hai Sitaaraa,
Usee Kaa Naseeb Hotaa Hai Sab Se Pyaaraa,
Zamaane Ko Lagtaa Hain, Ab Wohee Nyaaraa,
Baaqee Reh Jaate Hain Ekdum Besahaaraa.
---------------------
"RAAHAT"
---------------
Aisee Waisee Baaton Se Hargiz Naa Mujhe Sataa,
Bekaar Ke Yeh Nakhrein Yoon Hee Naa Jataa,
Pehle Too Keh De, Meree Kyaa Thee Khataa,
Raahat Kee Saans Kab Loon Main, Ab Bataa !
-------------------
"JALDEE"
---------------
Pehle To Sirf Nazrein Hee Milee,
Phir Dil Kee Kalee Bhee Khilee,
Rut Ekdum Aise Badalne Lagee,
Hone Lage Yeh Sab Kitnee Jaldee !
--------------------
"TAAR"
-----------
Chhedaa Jo Tum Ne, Dil Ke Har Ek Taar Ko,
Anjaane Mein Hee Agar, Yeh Ho Gayaa To,
Jhijhak Ko Chhod, Mujh Se Bayaan Kar Do !
--------------------
"FITRAT"
-------------
Ho Gaye Hai Aap, Kab Kee Mujh Se Door,
In Aankhon Mein, Ab Bhee To Hai Suroor,
Is Mein Kisee Kaa Naheen Hain Qasoor,
Apnee Hee Fitrat Se, Main Rahaa Majboor.
-------------------
"DAWAA"
--------------
Jaldee Se Mere Dil Mein, Kaheen To Bas Jaa,
Koyal See Aawaaz Mein, Ek Geet To Sunaa,
'Saa Re Gaa Maa Paa Dhaa Nee Saa',
Yahee To Hogee Dard E Dil Kee Dawaa !
--------------------
"RUK"
---------
Hawaa Chaltee Hai Lekin Ruk Naheen Saktee,
Aadmee Kee Chaal Mein Rukaawat Aa Jaatee,
Zindagee Mein Hawaa, Taazgee Le Kar Aatee,
Aadmee Kee Aadaton Se, Dhuaan Lehraatee !
--------------------
Comments
Post a Comment