BOUQUET - 33


"RAUNAQ"
----------------
Aansoo Bahaa Dene Se Kyaa Hotaa Hai Haasil,
Chand Lamhon Ke Liye, Aankhon Ko Mushqil, 
Agar Is Naatak Mein, Man Naheen Hai Shaamil, 
Lut Jaayegaa Bewajah Hee Raunaq - E - Mehfil !
           -------------------

"KASRAT"
---------------
Ek Kahaanee Likhne Kee Thee Hasrat, 
Par Abhee Tak Naa Milee Itnee Fursat, 
Jab Log Aapas Mein Karne Lage Nafrat, 
Main Kyon Kar Doon Ab, Yeh Kasrat,
           ------------------

"BHOOK"
-------------
Ek Baat Par Aakar Ruktaa Hai Dhyaan, 
Kaafee Aage Badh Gayaa Hai Vigyaan, 
Bhook Se Peedit Hain Ab Bhee Insaan,
Is Baare Mein Hain Sabhee Pareshaan !
           -------------------

"ROOH"
-----------
Kisee Kee Jab Mrityu Ho Jaatee, 
Usee Waqt Rooh Baahar To Aatee ;
Kuchh Samay Thehar Saans Letee, 
Phir Aglee Manzil Talaash Kartee !
           -------------------

"SHAKAL"
---------------
Palkon Par To Neend Thee Kuchh Bhaaree, 
Nazar Aaee Thee Ek Shakal Behad Pyaaree, 
Chaahat Ne Apnee Arzee Kar Dee Jaaree, 
Pataa Naheen, Yeh Kaun Thee Kunwaaree !
           -------------------

"ASAR"
-----------
Dhokaa Khaa Gayee Teree Bholee Nazar, 
Meethee See Baaton Ne To Kar Lee Asar,
Itminaan Se Pal Bhar Karte  Huwe Sabar,
Aakhir Pehchaan To Bhee Huee Baraabar. 
            -------------------

"ISHQ"
----------
Ishq Kaa Humsafar Har Pal Hotaa Hai Ghum,
Is Se Inkaar Naheen Kar Sakte Hain Hum,
Is Douraan Aksar To Nikal Jaataa Hai Dum,
Phir Bhee Is Daur Se Bach Sakte Hain Kum !
          -------------------

"AAS"
---------
Jab Man Mein Ubhar Kar Aatee Hai Ek Aas,
Tab Naheen Chaahiye Koee Bhee Aas Paas, 
Aisaa Waqt Zaroor Hotaa Hai Bilkul Khaas,
Tab Likh Daal Sakte Hain Anek Upanyaas.
          -------------------

"KALEE"
------------
Thandee Hawaaein Tab Bhee Chalee, 
Guzar Jab Rahaa Thaa Un Kee Galee, 
Mand Muskaaee Thee Woh Ek Kalee,
Soorat Thee Us Kee Khoob Bhalee.
           -------------------

"DAANAA"
----------------
Chidiyon Kaa Main Sun Rahaa Thaa Fasaanaa, 
Jab Mast Ho Kar Khaa Rahen They Daanaa, 
Is Drishya Ko Lagtaa Hai Itnaa Suhaanaa, 
Wahaan Se Jaane Kaa, Naa Sochaa Bahaanaa.
           -------------------

Comments

Popular Posts