BOUQUET - 34
-----------
Ab Utnee Lambee Naheen Rahee Jeewan Kee Dor,
Kuchh Kadam Aur Rahen Aakhree Manzil Kee Or,
Badan Par Padne Lagaa Hain, Kaafee Zyaadaa Zor,
Gaye Woh Din,Jab Daud Kar Swaagat Karte Bhor.
------------------
"KHAATAA"
-----------------
Jo Khol Sake Sabhee Ke Dilon Mein Khaataa,
Jeewan Ke Raahon Par Khud Ko Khush Paataa, Dhan Daulat Ke Peechhe, Woh Naheen Bhaagtaa,
Aakhir Sab Yaheen Chhod Kar, Har Koee Jaataa.
-------------------
"BHEETAR"
-----------------
Jhaank Ke Main Ne Dekh Liyaa Apne Bheetar,
Par Dikh To Gayaa Ek Vyaakul Kabootar,
Lekin Prashn Kaa Naheen Milaa Koee Uttar,
Samjhaa Ke Chhup Jaaye Aisee Baat To Behtar.
---------------------
"KHOLEE"
---------------
So Jaane Ke Liye Zarooree Hai Neend Kee Golee,
Jaag Jaate Hain Sun Ke Panchhee Kee Bolee,
Barson Se Naheen Rahee Ghar Mein Humjolee,
Fursat Mein Aa Ke Dekh Leejiye Meree Kholee !
-------------------
"GAUR"
-----------
Lagtaa Hai Chalegaa Yeh Jeewan Isee Taur,
Waise Kaafee Mushqilon Kaa Thaa, Yeh Daur,
Chaaraa Bhee To Naheen Hain, Kuchh Aur,
Is Baat Par, Agar Kar Le Thodaa Saa Gaur.
-------------------
"PHAL"
----------
Yakeenan Mil To Saktaa Hai Meethaa Phal,
Agar Mehnat Bhee Karen Kuchh Aur Pal,
Is Ke Liye Zarooree Naheen Khaas Akal,
Kewal Aadaton Ko Kar Le Thodaa Badal.
-------------------
"KALPANAA"
-------------------
Agar Haqeeqat Se Judaa Hotaa Hai Sapnaa,
Kyaa Log Isee Ko Hee Kehte Hai Kalpanaa,
Agar Yeh Bikhar Jaaye To Padtaa Tadapnaa,
Sahee Nikle To Lagegaa Bilkul Hee Apnaa.
-------------------
"GHAAYAL"
-----------------
Sochtaa Hoon Ke Kaise Dil Hotaa Hai Ghaayal,
Chehre Par Muskaan, Yaa Pairon Pe Bajte Paayal,
Yaa Hawaaon Mein Udtaa Lehraataa Aanchal,
Sabhee Ke Asar Mein, Dil Hotaa Hai Paagal !
-------------------
"KHANAK"
----------------
Hai Usee Kee Aawaaz Mein Woh Khanak,
Sunte Nazron Mein Aatee Ek Jhalak,
Jo Man Ko Behlaaye Bahut Der Talak,
Jhoom Ke Chalne Lagoon Door Tak.
-------------------
"AASAAN"
----------------
Kisee Apne Ko Kho Denaa Hai Naheen Aasaan,
Isee Wajah Se Hum Kehlaate Hain Insaan,
Bechain Hokar Gaayab Ho Jaataa Hai Muskaan,
Kuchh Dinon Tak, Kum Rehtaa Hai Dhyaan.
-------------------
Comments
Post a Comment