BOUQUET - 35
"HOSH"
-----------Deewaanepan Mein Hosh Kaa Kyaa Kaam,
Dhyaan Kahaan Jab Haath Mein Hai Jaam,
Madhoshee Ke Aalam Mein Miltaa To Aaraam,
Palak Jhapakte Hee Nazar Aataa Hai Anjaam.
-------------------
"SHAAYAD"
-----------------
Kal Kee Fikr To Main Ne Kab Se Chhod Dee,
Aaj Ke In Lamhon Mein Hansee Bhar Lee,
Yoon Jeene Se Miltee Hai Raahat Zaraa See,
Shaayad Aage Bhee Hogee Fizaa Aise Hee !
--------------------
"DHYAAN"
----------------
Kehte Hain Log Ke Ishq Naheen Aasaan,
Is Maamle Mein Main Hoon Kuchh Naadaan,
Haseen Chehre Se Kaise Hataa De Dhyaan,
Do Pal To Jee Loon, Yahee To Hai Armaan !
-------------------
"AB"
-------
Ab Nazrein Churaanaa Bhee Tumhen Aa Gayaa,
Jab Muskuraanaa To Main Ne Chhod Hee Diyaa,
Shaayad Is Kaaran Ab Tak Main Ne Jee Liyaa,
Yakeen Kar Lo, Main Ne To Pyaar Naheen Kiyaa !
------------------
"UMANG"
---------------
Zindagee Mein Bhar Ke Pyaar Kaa Aisaa Rang,
Khush Hote Hee Jhoome, Har Koee Ek Sang,
Dekhne Waalon Ke Dilon Mein Aaye Umang,
Kuchh Pal Ke Liye To Sahee, Naa Rahen Tang.
-------------------
"DIMAAG"
---------------
Mushkil Waqt Mein Jis Ko Hanste Huwe Paayaa,
Zindagee Kee Ujhanon Ne Us Ko Kum Sataayaa,
Is Baat Ko Waise Kisee Ne Naheen Samjhaayaa,
Dimaag Par Kuchh Zor Dene Se Hee Aayaa.
-------------------
"ZUBAAN"
---------------
Khulne Jab Lag Jaatee Hai Khaamosh Zubaan,
Samajh Lenaa Yeh To Hai Khudaa Kaa Farmaan,
Qaaboo Mein Jab Naheen Bilkul Pashemaan,
Phir Kahaan Reh Jaaye Izzat Yaa Abhimaan ? !
--------------------
"BEIMAAN"
-----------------
Phir Se Shuroo Ho Gayaa Hai Imtihaan,
Pehlee Hee Nazar Mein Muskaan,
Jaise Zameen Ko Choome Aasmaan,
Dil Ho Gayaa Ghaayal Aur Beimaan !
-------------------
"MAAHIR"
---------------
Khud Ko Jab Samajhne Lageegaa Maahir,
Jaan Le Ek Din Aisaa To Aayegaa Aakhir,
Majboor Honaa Padegaa Ek Baar Phir,
Yeh Baat To Hai Bilkul Hee Zaahir !
-------------------
"AKAL"
----------
Shaam Jaise Huee, Aur Khul Gayee Botal,
Bhor Hone Par Hee Aa Jaataa Hai Akal,
Aaeene Mein Tab Kaisee Hogee Shakal ?
Aur Jeb Kee Haalat, Waisee Jaise Kal ?
-------------------
Comments
Post a Comment