BOUQUET - 36

 "JHILMIL"

---------------
Jab Nazar Aataa Hai Kisee  Haseen Rukh Pe Ek Til, 
Aqsar To Beqaaboo Hotaa Hai  Naujawaan Kaa  Dil,
Aankhon Mein Taarein Jhoomne Lagte Jhilmil, 
Aise Mein Kaheen Woh Ho Naheen Jaaye  Bismil.
          -------------------

"KOSHISH"
----------------
Gir Kar Phir Uth Jaanaa Hai Naheen Aasaan, 
Jaise Dhartee Se To Chhoo Lenaa Aasmaan, 
Waise Har Kisee Kaa Hotaa Hai Ek Anumaan, 
Koshish Se Hee Safal Ho Jaataa Hai Insaan !
          -------------------

"QAREEB"
---------------
Kabhee Naa Jaa Kisee Ke Itnaa Qareeb, 
Ke Tanhaaee Mein Ro De Apnaa Naseeb,
Shaayad Yeh Baat Sabhee  Ko Lage Ajeeb, 
Jaise Ek Raees Kee Nazar Mein Hai Gareeb !
           -------------------

"JANAM"
--------------
Sach Mein Har Ek Din Hai Ek Nayaa Janam,
Raat Ko So Jaate Hee Woh Din Hai Khatam,
Phir Yeh Beqaraaree Kyon, Seh Ke Sitam, 
Akele Hee Jiye, Bagair Liye Saath Sanam.
          -------------------

"MUDDAT"
----------------
Dil Abhee Naheen Hai Ek Muddat Se Udhaas, 
Kyaa Farak Agar Koee Naheen Hai Aas Paas, 
Baat Itnee See Hai, Magar Phir Bhee To Khaas,
Bayaan Aur Kaise Karoon,  Meraa Yeh Ehsaas !
          -------------------

"CHAIN"
------------
Raat Bhar Agar Neend Se Vanchit Reh Jaaye, 
Koee Anokhee Baat Man Ko Aise Sataaye, 
Dimaag Par Lage Andheraa Hee Chhaa Gaye,
Tab Thandee Hawaa Mein, Tehal Ke Aaye !
            -------------------

"DAUR"
-----------
Dohraayaa Jaataa Hai Yeh Baat Har Daur,
Phir Bhee Samajh Lenaa Hai Isee Taur, 
Khud Ko Aage Rakh, Kyon Karen Gaur, 
Aisee Soorat Mein, Kyaa Haasil Hotaa Aur ? !
            -------------------

"BANDAR"
----------------
Chheen Kar Chashmaa, Bhaag Gayaa Ek Bandar,
Huaa Hai Kyaa Vichaar, Us Ke Dimaag Ke Andar, 
Is Ainak Ko Pehen, Ban Jaaoongaa Aur Sundar ?
Yaa, 'Ho Saktaa Hoon Muqaddar Kaa Sikandar !' 
            ------------------

"SAFAL"
-----------
Apnee Marzee Se Jab Miltaa Naheen Hain Phal,
Phir Kyon Naheen Khud Ko Thodaa Saa De Badal,
Haalaat Ke Mutaabik Hee Aage Badhtaa Chal,
Is Qadar Kee Soch Se Aa Jaaye Ek Behtar Kal.
            ------------------

"QABOOL"
---------------
Har Vyaktee Se Hotee Rehtee Hain Anek Bhool,
Kaanton Ke Beech Hee Khilte Hain Sundar Phool, 
Nainon Mein Kabhee Bhar Jaate Hain Kuchh Dhool,
Yeh Sab Zindagee Mein, Har Ek Ko Hai Qabool !
          -------------------

Comments

Popular Posts