BOUQUET - 38


"AAWAAZ"
----------------
Ruktaa Naheen Koee Sun Kar Meree Aawaaz,
Wajah Hai Yahee, Ab Huaa Puraanaa Saaz, 
Pehle Hotaa Thaa, Khaas Ek Andaaz,
Yaadein Reh Gaee, Ban Kar Dil Kaa Raaz.
           ------------------

"MEHFIL"
--------------
Rone Se Kabhee Kuchh Hotaa Naheen Haasil,
Bigad Jaane Se Behtar Hai Ho Jaanaa Shaamil, 
Bhale Naa Hee Bhaaye Duniyaa Kee Mehfil, 
Alag Rehnaa Bhee To Hai Behadh Mushkil.
            ------------------

"SALAAH"
---------------
Ek Deewaane Kee Chaah, Dabee See Reh Gayee, 
Anek Parwaanon Kee Aah, Jal Kar Khaak Huee, 
Meree Hai Salaah, Chot Naa Khaaye Abhee,
Kaheen Aur Chal, Raahon Mein Kaantein Nahee !
          ------------------

"KASAM"
--------------
Mere Ek Dost Ne Khaaee Thee Ek Kasam, 
Jeewan Mein Kabhee Naa Piyoongaa Rasam,
Do Ghoont Mein To Kiyaa Thaa Gilaas Khatam,
Aise Mein Gale Par Huaa Thaa Khoob Sitam !
           ------------------

"ADAA"
-----------
Chup Rehne Kee Adaa Jab Se Seekh Liyaa,
Bekaar Kee Behas, Zehan Se Nikaal Diyaa,
Waise In Labon Ko To Naheen Siyaa, 
In Baaton Se Aksar Miltaa Bhee Kyaa ? !
          --------------------

"KHUSHBOO"   
--------------------
Kyaa Yeh Nashaa Hai, Yaa Phir Koee Jaadoo, 
Har Taraf Se Aa Rahee Hai, Ek Naee Khushboo,
Is Chaahat Kee Pankh Par Udne Lagee Aarzoo,
Aise Mein Koee Bhee Ho Saktaa Hai Beqaaboo.
           ------------------

"CHAAHOON"
---------------------
Kaee Baar To Sochaa, Dil Kee Baat Keh Doon,
Samasyaa Yeh Hai, Hoton Tak Kaise Laaoon, 
Aage Chal Kar, Naa Jaane Kyaa Chaahoon,
Ab To Lagtaa Hai, Ke Bol Hee Naa Paaoon.
            -------------------

"CHIDIYAA"
-----------------
Udne Lagee Hai Man Mein Basee Ek Chidiyaa,
Chamakne Lagee Hai Maathe Pe Bindiyaa, 
Khanaktee Chalee, Kalaaee Kee Choodiyaa, 
Bataa De, Tujhe Kyaa Ho Gayaa, Daiyaa ? !
          -------------------

"BECHAIN"
----------------
Pyaasee To Lagtee Hain Tere Nain, 
Dil Bhee To Huaa Hogaa Bechain, 
Kab Tak Beetegee Yoon Hee Rain, 
Kaheen Se Dhoond Laaye Woh Chain ? !
           -------------------

"MEHJABEEN"
----------------------
Yeh Rut Hai Bahut Rangeen, 
Tum Bhee Ho Behad Haseen, 
Keh Rahen Hain Gagan Zameen, 
Gum Sum Kyon Ho,  Mehjabeen ?
          -------------------

Comments

Popular Posts