BOUQUET - 39


"HAAR" 
-----------
Jee Tod Koshish Karne Ke Baad Bhee Haar, 
Yoon Hotaa Hai Jeevan Mein Kaee Baar, 
Aisee Soorat Mein Naheen  Huaa Bezaar, 
Phir Se To Jod Sakte Hain, Sabhee Taar !
           -------------------

"SAAZISH"
----------------
Aaj Ek Saath Hain, Dhoop Aur Baarish, 
Lagtaa Hai Mujhe Jaise Koee Saazish,
Yeh Ho Saktaa Hai, Kisee Kee Khwaaish, 
Pooree To Ho Gaee, Kisee Kee Farmaaish !
           -------------------

"SHEHZAADAA"
------------------------
Kabhee Naa Bol Itnaa Zyaadaa, 
Jab Kaam Huaa Hai Sirf Aadhaa, 
Aise Mein Kho Dete Hain Maryaadaa,
Yeh To Bhool Gayaa Ek Shehzaadaa !
          -------------------

"KEEMAT"
---------------
Har Cheez Kee Itnee Badh Gaee Hai Ab Keemat, 
Lagtaa Hai Jaise Aage Yahee Rahegee Kismat, 
Filhaal Sabar Ke Saath,  Theek To Hai Neeyat, 
Par Koee Naheen Tayyaar, Sun Lene Ko Naseehat.
           ------------------

"MARZEE"
----------------
Khayaalon Mein Ud Ke Jab Aayee Ek Paree, 
Nigaahein Us Waqt Neend Se Thee Bharee,
Ishaaron Mein Hee Bolee 'Kyaa Hai Arzee',
Kyaa Ab Aage Chalegee Meree Marzee ? !
          -------------------

"ITMINAAN"
------------------
Aap Ne Meree Jaan, Yeh Kyaa Kiyaa, 
Itminaan Se Mujhe Bolne Naa Diyaa, 
Is Se Kuchh Mailaa Ho Gayaa Jiyaa, 
Is Baar To Labon Ko Naheen Siyaa !
         -------------------

"EEMAAN"
----------------
Kyaa Yahee Hai Woh Adbhut Farmaan, 
Badhne To Lagaa Hai
Kuchh  Armaan, 
Is Mein Dakal Detaa Hai Meraa Eemaan,
Lekin Soyaa Huaa Naheen Hai Abhimaan.
           ------------------- 

"JHAMELAA"
--------------------
Kismat Ne Ab Tak Mere Saath Hee To Khelaa, 
Shikaayat Kiye Bagair, Sab Kuchh Bhee Jhelaa, 
Hasrat Naheen Hotee Ke Sadaa Ho Akelaa, 
Tang Karnaa Bhoolegaa, Yeh Jhamelaa ? !
           ------------------

"KHALBALEE"
---------------------
Adaayein To Us Kee Rahee Khoob Chulbulee,
Yeh Dekh, Man Mein Mach Gaee Khalbalee,
Dimaag Kee Battee, Tez Jal Rahee Thee,
Itne Mein Achaanak Woh Phurr Ho Chalee. 
          ---------------------

"AANAN - FAANAN"
-----------------------------
Kab Tak Saath De Kar Yoon  Chalegee Taqdeer, 
Aaeene Mein To Badal See Gaee Hai Tasweer,
Yahee Baat Zaahir Kartaa Hai Meraa Shareer,
Kyaa Aanan Faanan Mein Hai Ab Tadbeer ? !
           -------------------

Comments

Popular Posts