BOUQUET - 40
"TAQDEER"
-----------------Aadhee Raat Ko Ek Baat To Zaroor Hai Aatee,
Is Wajah Se Kuchh Der Tak Neend Khul Jaatee,
Yaad Bhee Yoon Chaltee Jaise Ho Baaraatee,
Yeh Baat Aqsar Meree Maa To Mujhe Sunaatee !
------------------
"RUSWAAEE"
--------------------
Mujhe Bahut Pyaaree Hai Meree Tanhaaee,
Is Mein Hotee Naheen Koee Ruswaaee,
Soch Par Bhee Naa Padtee Parchhaaee,
In Baaton Se To Chehre Pe Hansee Aaee !
-------------------
"RUMAAL"
---------------
Jab Huaa Naheen Kisee Prakaar Kaa Kamaal,
Nazron Tak Le Gaee Woh Reshmee Rumaal,
Ab Beshak Uthegaa Yahee Ek Sawaal,
Zamaane Kaa, Aise Mein, Kaisaa Hai Haal ?
-------------------
"HUSN"
-----------
Husn Kee Taareef Se Badh Jaataa Hai Guroor,
Saath Hee Bas Jaataa Hai, Nainon Mein Suroor,
Aise Mein To Log Aksar Hote Hain Majboor,
Kaun Badal Saktaa Hai, Sansaar Kaa Dastoor.
---------------------
"NAMOONAA"
---------------------
Jhoothee Tasalee Ke Sahaare Khud Se Bhaag Jaanaa,
Bekaar Kee Baaton Ko Har Samay Lagaatar Yoon Dohraanaa,
Be - Lagaam Har Waqt Apnee Zabaan Ko Chalaanaa,
Kamzor Dimaag Kaa Hai Shaayad Chamaktaa Namoonaa !
-------------------
"FASAANAA"
-------------------
Agar Aap Chaahe To Sun Le Fasaanaa,
Magar Yaad Rahe Kisee Ko Naa Bataanaa,
Kyon Ki Buraa Ho Saktaa Hai Zamaanaa,
Kaheen Baad Mein Naa Pade Pachhtaanaa.
-------------------
"AAZMAANAA"
----------------------
Swaabhaawik Hai Pyaar Kaa Ho Jaanaa,
Phir Bhee Ladkee Kyon Boltee Hai 'Naa',
Shaayad Koshish Hai Ladke Ko Aazmaanaa,
Kyaa Seekhaa Kisee Ko Qaaboo Mein Laanaa ? !
-------------------
"SEHRAA"
---------------
Dekh To Sakaa Aap Kaa Sundar Chehraa,
Jab Sarak Gayaa Thaa Zulf Kaa Pehraa,
Huaa Hai Dil Pe Asar,
Badaa Gehraa,
Kab Aaoon Main, Baandh Ke Sehraa ? !
------------------
"SHAAYAR"
-----------------
Mujhe Naheen Lagtaa Ki Hoon Shaayar Abhee,
Sirf Lafzon Se Khelnaa, Aataa Hain Kabhee,
Jaan To Le, Yeh Baat Hain Bilkul Hee Sahee,
Pataa Nahee Ek Din Ban Paaye, Yaa Nahee !
------------------
"NASHEELEE"
---------------------
Thodee See Kyaa Nazron Se Main Ne Pee Lee,
Badhtee Chaahat Ne Mujhe Aur Bhee Pyaas Dee ;
Bataa De Is Mein Meree Kyaa Hai Khataa Jee,
Jab Aankhein Teree Hain Itnee Hee Nasheelee !
------------------
Comments
Post a Comment