BOUQUET - 41


"KANGAAL"
-----------------
Mere Man Mein Bas Gaye Hain Kuchh Aise Sawaal, 
Dil Kho Jaane Se Kyaa Koee Hotaa Hai Kangaal,
Sunaa Hai Kabhee Aadmee Hotaa Hai Maalaamaal,
Uttar Mein To Ichchhaa Hain, Ho Kuchh Misaal !
            ------------------

"TABAAH"
---------------
Buraa Nahee Maano To Sun Lo Yeh Salaah, 
Kaheen Aur Kar Do, Zaraa Tumhaaree Nigaah,
Naheen To De Do Saath,  Jeevan Kee Is Raah, 
Warnaa Yeh Bandaa Ho Saktaa Hai Tabaah !
           ------------------

"BEGAANAA"
--------------------
Ishq Ne To Kar Diyaa Hai Us Ko Deewaanaa, 
Yeh Ab Jaan Liyaa Hai Saaraa Zamaanaa, 
Lekin Aajkal Us Kaa Nahee Rahaa Thikaanaa, 
Lagtaa To Hai Ke Woh Ho Gayaa Begaanaa.
         --------------------

"PAAR"
-----------
Andaazaa Lagaanaa Hai Mushqil Aakhirkaar, 
Maut Ke Baad Kyaa Ho Jaayegaa Us Paar,
Shaayad Mil Saktaa Hai Khoyaa Huaa Pyaar, 
Jaan Lene Ke Liye To Karnaa Hai Intezaar.
          ------------------

"NAZAAKAT"
-------------------
Yoon Likhne Kee Ab To Ho Gaee Hai Aadat, 
Kyon Lagtee Hai Mujhe, Jaisee Ek Ibaadat, 
Chup Rehne Par To Hotee Hain Qayaamat, 
Sahee Lafzon Se Rehtee Hai Yeh Nazaakat, 
Kisee Ko Mujh Se Naheen Hogee Shikaayat !
             ------------------

"MIL"
--------
Ab Utnee Door Naheen Zindagee Kee Manzil, 
Kadmon Mein Jaan Kum, Yeh To Hai Mushqil, 
Nigaahein Bhee Taaron Se Kartee Yoon Jhilmil,
Kaheen Se Bhee Paas Aa Ke Mujh Se Ab Mil !
          --------------------

"SAIR"
----------
Jab Nikal Jaataa Hai Koee Karne Duniyaa Kee Sair, Usee Dhun Mein Chaltaa Hai Kuchh Soche Bagair, 
Is Tarhaa Hee Hotee Hai Pareshaanee, Par Khair, 
Ghar Waapasee Par Aur Kamzor Lagte Hain Pair !
            -------------------

"GHABRAAHAT"
------------------------
Insaan Kyon Bantaa Hai Ghabraahat Kaa Shikaar, 
Kuchh Is Prakaar Se Bhee Log Maante Hain Haar,
Zaraa See Aahat Pe Kyon Dil Hotaa Hai Bezaar, 
Sadaa Zindagee Mein To Aatee Naheen Bahaar.
           -------------------

"NAAM"
------------
Pehlee Mulaaqaat Mein Poochhtaa Naheen Naam, 
Yaad Mein Bas Jaayegaa, Kewal Us Kaa Kaam, 
Is Baat Ko Lekar Mujh Par To Lagtaa Hai Ilzaam, 
Lekin Kyaa Karoon, Sadaa Yahee To Hai Anjaam !
            ------------------

"UCHHAALAA"
----------------------
Tanhaaee Kaa Aalam Thaa Kuchh Niraalaa, 
Zindagee Mein Tab Rahaa Khoob Ujaalaa, 
Yaadon Ko Mastee Se Yoon Uchhaalaa,
Aise Mein Haath Se Chhoot  Giraa Pyaalaa !
           -------------------

Comments

Popular Posts