BOUQUET - 42


"NIKHAAR"
-----------------
Baarish Ne Dee Bheegee Dastak, Aaee Koyal Kee Pukaar,
Mausam Ne Lee Angdaaee,  Saath Laayee Khoob Bahaar, 
Fizaaon Ne Bhee Hawaa Ke Sang, Kiyaa Hain Chamatkaar, 
Aise Mein Sabhee Ke Chehre Par, Khil Uthaa Ek  Nikhaar.
          -------------------

"JASBAAT"
----------------
Neend Kuchh Pal Ke Liye Jab Khultee Hai Aadhee Raat,
Dimaag To Josh Se Bulaa Letaa Hai Yaadon Kee Baaraat, 
Aise Mein Usee Raahon Par Chalne Lagtee Hai Jasbaat,
Naheen Jaane Aage Bhee  Kyaa Pesh Karegee Aisee Raat.
           --------------------

"WOH"
----------
Woh Kaun Hai Jo Kabhee Naheen Sudharegaa,
Andhere Mein Bhee Diyaa Naheen Jalaayegaa,
Galatee Se Kabhee Moonh Naheen Modegaa,
Lekin Yaadon Mein Apnon Ke Zaroor Rahegaa ? !
           -------------------

"FILHAAL"
---------------
Samay Kee Ichchhaa Se Jadne Lage Hain Baal,
Kisee Waqt Chaltee Thee Dikhaa Ke Gore Gaal ;
Sochaa Naa Hogaa Yoon Badlegaa Apnaa Haal,
Aansoo Ke Bhee Maane, Naheen Hain Filhaal.
           ------------------- 

"SANTULAN"
-------------------
Ab Jab Sochtaa Hoon Ke Kaisaa Thaa Bachpan,
Tez To Ho Jaatee Hain, Dil Kee Kuchh Dhadkan, 
Lekin Keh Saktaa Hoon, Ke Theek Rahaa Santulan,
Kamaane Ko Le Kar Kum Rahaa Apnaa Man !
            -------------------

"KAABIL"
-------------
Duniyaa Kee Nazron Mein Woh Hee Hai Kaabil,
Jis Ne Dhan Aur Daulat Khoob Kiyaa Haasil, 
Bhale Is Harqat Mein, Tod Diye Hain Kaee Dil,
Baat Ko Ab Parkhe Kaun, Yahee To Hai Mushkil.
           ------------------- 

"TAMAAM"
----------------
Ek Shaayar Ne Kahaa Thaa Jo Bhee Hai Naam,
Koee Fikr Naheen, Dekhaa Jaayegaa To Kaam,
Aaj Koee Kyaa Keh Saktaa,  Yeh Khule Aam, 
Jab Jaat Paat Ke Charche To Hain Tamaam.
           --------------------

"NAADAANEE"
----------------------
Kyaa Budhhaape Mein Dobaaraa Aatee Hai Jawaanee ?
Kuchh Logon Ko Zaroor Lag Jaatee Hain Yeh Beemaaree, 
Samajh Le Huzoor, Yeh Naheen Hai Mehas Ek Kahaanee,
Kaee Buzurg, Aise Hee Pesh Aa Kar, Karte Khoob Manmaanee.
Shaayad Is Ko Keh Sakte Hain, Un Kee Taraf Se Naadaanee !
           -------------------

"AABAADEE"
-------------------
Jab Desh Ko Mil Gaee Thee Aazaadee,
Chaalees Karod Kee Rahee Aabaadee,
Har Ek Cheez Kee Thee Tab Kamee,
Swaasthya, Seekh, Rotee, Paanee, Bijlee,
Ab To Bahut Aage Niklee Kahaanee !
           ------------------

"ANGRAKSHAK"
------------------------
Kyaa Sachmuch Honaa Chaahiye Angrakshak,
Is Baat Ko Lekar Hain Vivaad Beshak,
Jeene Kaa Haq Hai Sab Ko, Niyamit Maut Tak, 
Ek Ko Bachaane, Doojaa Kyon Karen Band Palak ? !
            ------------------  

Comments

Popular Posts